Shayad Ye SACH Hy

Shayad Ye SACH Hy
Shayad Ye SACH Hy

K Bicharne Se Koi Marta Nhi

Lekin Ek Din

Maine Phool Ki Tehni Ko Juda Kia Tou

Phool Chand Saanio''n Main Murjha Kar Dum Tor Gya

Tab Maine Jana K Agar Jazbe Sache-o-Belaus Hon Tou

Bicherne Se Koi Bhi Marr Sakta Hy. . .
  

Jun, 03 2010     253 chars (2 sms)     2286 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Pyaar me maut se darta kaun hai,
pyaar ho jaata hai Karta kaun hai.
Aap jaise yar par dunya qurban,
Aur Aap puchte ho ki hum par marta kaun ha
Wah ishaq teri bhi ajeeb dastan hai.

mahboob mil jaye tu khuda choot jaye.....

mahboob choot jaye tu khuda mil jaye......
Hum Karte Hain Tum Se Pyar Tum Se Hi Pyar Karenge
Aaj Ye Sari Duniya K Samne Iqraar Karenge
Kabhi To Jhalak Do Hamari In Tarasti Nighaon Ko
Phir Shaam O Saher Tumhara Hi Deedar Karenge
fursat mely kabi to pouch hall un ka,,,

jo log gi rahay hen tayray pyar k bagair
Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
Muhabbat Hogai Mujhko
Ek Shaks Se Aisay
Jis Per Yaqen Nai Humko
Magar Phir B Najanay Kion
Muhabat Hogai Mujhko
Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye GumaaN Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi ImkaaN Baaqi Hai

Muddat Hoyi Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek NishaaN Baaqi Hai
kya mila muhbt se?
khawab ki musafat se
wasl ki tamazt se
roz.o.shb riazt se

kiya mila muhbt se?

aik hijr ka sehra
aik shaam yadon ki
aik thaka hua aansu...
Zindagi hai nadan isi liye chup hoon,

Dard hi dard subah shaam isi liye chup hoon,

Keh du zamane se dastan apni,

Usme aayega uska naam isi liye chup hoon.
Ye Rung-e-Gul Bhi Hy
Aur Khaar Bhi Hy

Zubaan Chalti Hui
Talwaar Bhi Hy

Ajab Hy Bolti Aankho''n
Ki Masti

JahanInkaar Bhi Hy
Iqraar Bhi Hy

Ye Raah-e-Ishq Hy
Dekho Sambhal Kr

Bohat Aasan Bhi Hy
Dushwar Bhi Hy

Ajab 2 Rung Hyn
Insaan Ki Fitrat

Gila Hy Jis Sy Usi Sy
Pyar Bhi Hy !!!
Ae Baad-e-Saba

Us Nagar Main ja

Usay Itna Bata

Ek Dost Tera

Kehta Hy Sada

Mujhy Apna Bana

Chahat Ko Jaga

Ae Jaan-e-Ghazal

Teri Baat Azal

Tere Hont Kanwal

Teri Aankh Ghazal

Ae Jaan-e-Wafa

Khud Tu Hi Bata

Kab Tere Siwa

Mujhe Chain Mila ... ???
Raat Kat’ti Rahi Chaand Dhalta Raha
Aatish-e-Hijr Main Koi Jalta Raha

Ghar Ki Tanhaiyan Dil Ko Dasti Rahi’n
Koi Bechain Karwat Badalta Raha

Aas-o-Umeed Ki Shama Roshan Rahi
Ghar Ki Dehleez Ko KOi Takta Raha

Raat Bhar Chaandni Gungunati Rahi
Raat Bhar Koi Tanha Sisakta Raha

Ashk Palo’n Pe Aa K Bikherte Rahe
Naam Lab Par Kisi Ka Larazta Raha

Aaj Phir Raat Basar o Hi Gayi
Aaj Phir Koi Khud Se Ulajhta Raha