Eik dil ka kaha mano

Eik dil ka kaha mano
Eik dil ka kaha mano eik kaam ker do

,
Eik benaam si mohabbat

meray naam ker do.

Mari zaat pay fakat itna ehsan ker do,


Eik subha ko milo or shaam ker do.
  

Jun, 03 2010     170 chars (2 sms)     2583 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ek suhani rat ho
hathon main taira hath ho
ankhon main tumhary pyar ho zuban pr eqrar ho
barish ki brasat ho
ek suhani rat ho
Benaam Sa Ye Dard...Thehar kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai...Woh Guzar Kyon Nahi Jata.


Sab Kuch To Hai...Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai...Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata..


Woh Ek Hi Chehra To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata...


Main Apni Hi Uljhi Hoi...Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab...Main Udhar Kyon Nahi Jata...


Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata...!
Zara Tehroo..
Kay Soraj Ko To Janay Do..
Parando Ko To Ur Janay Do..
Zara Sham Dhalnay Do..
Abhe To Aasman Ka Rang Nikray Ga..
Abhe Khushboo Bhe Bikray Gee..
Abhe Mosam Bhe Badlay Ga..
Abhe To Chand Niklay Ga..
Abhe Manzar Badalnay Mein Zara See Dair Bakee Hey..
Abhe Dil Kay Sambhalnay Mein Zara See Dair Bakee Hey..
Chalay Jana..
Chalay Jana…
Abhe Do Char Pal, Do Char Sadyaa Sat Rehney Doo..
Zara….
Zara Tum Sham Dhalney Do..
Tahar Jaoo
Tahar Jaoo
Woh kehte hain k aagar nasib hoga mere,
toh hum unhe zaroor payenge,
hum puchte hain unse, agar hum badnaseeb
hue toh unke bina kaise jee payenge..
parh Chuke Husn ki Tarikh ko Hm Tere Baad,

ishQ Aage Na Barha 1 Qadam Tere Baad,

Aaj Tk Phir koi Tasveer Na Bani Aisi,

jis ki khai Ho Musawar Ne Qasm Tere Baad
Khuda kare ki hamari Dosti me aisa mukaam aaye,
Hum tumhe yaha yaad kare aur tumhe vaha khabar ho jaaye,
Dua bas itni mangi hai rab se ki aap jo khushi mange wo aapko mil jaaye.
kar kar k min''nten teri aadat bigar di..

danista tujhe hmne sitamgar bana diya...
Aankhon Main Jo Aansoon Hain Humaray Ussay Kehna
Dono Yeh Hissa Hain Pyaaray Ussay Kehna

Tapkay Jo Teri Aankh Say Aansoo Ka Koi Qatra
Nahin Dekhnay Hum Ko Yeh Nazaray Ussay Kehna

Katti Nahin Us Say Bhi Shab-E-Hijran Tu Phir
Ginna Karay Woh Bhi Sitaaray Ussay Kehna

Hoti Nahin Pori Kabhi Khahish Koi Us Ki
Chal Jatay Hain Dil Pay Merey Aaray Ussay Kehna

Kal Raat Tu Chaand Kuch Mayoos Sa Tha
Aaj Woh Khud Ko Na Sanwaray Ussay Kehna

Zindagi Ek Shaam Hai Saharay Main Ghuzaroon
Ek Shaam Merey Sath Woh Ghuzaray Ussay Kehna
Chandni Raat Mein Aur Bhi Shidat Say Aaye Gee Us Ki Yaad
Behtar Hai Faraz So Jana Shaam Say Pehlay
use kaho ub na husan k qafle le kar aye shahr main.

tere husan se sub qatal na hu jaye sub or kahin shehar weran na ho jaye.
na janay konsa jazba tha jis ne khud hi...
meri hi zaat ka dushman bana diya mujko...
Tere Ikhlaas Sy MOHABBAT Ki Hy
Tere Ehsas Sy MOHABBAT Ki Hy

Tu Mere Paas Nahi Hy Phir Bhi
Main Ny Teri Yaad Sy MOHABBAT Ki Hy

Kabhoi Tu Ny Bhi Mujhy Yaad Kia Hoga
Main Ny Un Lamhat Sy MOHABBAT Ki Hy

JinMain Hon Sirf Teri Aur Meri Baatei''n
Main Ny Us Waqt Sy MOHABBAT Ki Hy

Aur Jo Mehalty Hon Teri MOHABBAT Sy
Main Ny Un Jazbat Sy MOHABBAT Ki Hy

Tujh Sy Milna Tou Ab Haqiqat Sa Lagta Hy
MainNy Tere INtizar Sy MOHABBAT Ki Hy