Na Gham Hai Na Hai Ehsaas Khushi Ka.
Na Deed Hai Na Hai Intezaar Kisi Ka.
Main Tu Akela Chal Raha Hoon Andheron Main.
Ab Tu Ye Bhi Yaad Nahi Kab Hua Tha Samna Rosheni Ka.
Her Su Raqabton Ka Dehekta Alao Tha
Uss Shehar-E-Dostan mein Ghazb Ka Tanao Tha
Phir Youn Hua K Uski Aana Usko Kha Giye
Werna Uss Aadmi mein Bara rekh rakhao Tha
Ik pahar din ka teri yaad mein guzar dete hain
Pura din us pahar k intzar mein guzar dete hain
Us pahar ko jete hai lamha lamha
Us pahar mein puri zindagi guzar dete hai
Barishon k mosam main.waqt k andhairon main,mene us say pocha tha.Chor to na jao gay?Hath thaam kar usne ye bola tha??kaise chor sakta hon?Tum to jan ho apni?aur aaj aisa hai k waqt ki tamazat main..Vehshaton k mosam main..main nay uss say pocha .. chor k hi jana tha muskrati galion main to aas kyun jagai thi..?mere in sawalon par na wo chonka,na thehra..chaltay chaltay itna hi kaha bus..Mosam k khail hain.sab waqt ka tagayur hai.