Meray khaboon ka her ek naksh mita day koi…
sokhay patto ka bacha dar jala day koi…
wwmeri pahchan ka ek shaks isi shehar may hai…
may bhi zinda hon zara uss ko bata day koi…
kuch to tanhai ka ahsas mujah kum ho ga…
meray saye se ager mujko mila day koi..
meray khaboon ka her ek naksh mita day koi…
sokhay patto ka bacha dar jala day koi…..
Tanha Rehna Seekh raha hon Mer k jeena seekh raha hon
Maang k pana seekh lia hai Paa k khona seekh raha hon
Saber ko Zaad-e-Rah bana ker kanch pe chalna seekh raha hon
Jeeny k hain ajab taqazay zinda rehna seekh raha hon
Madhosi ne bohat sataya Hosh mein rehna seekh raha hon