Aadat si bana li hey

Aadat si bana li hey
Aadat si bana li hey Tere shaher key logon ney
Andaaz badal lena Aawaz badal lena

Dunia ki mohbbat main Atwaar badal lena
Mosam jo naya aaye, Raftaar badal lena

Agyaar wohi rakhna, Ahbaab badal lena
Rastay main agar milna, Nazroon ko jhuka lena

Awaaz agar do to Katra ke nikal jana
Har ek sey juda rehna Har ek sey khafa rehna

Jaatey howey raahi ko Manzil ka pata dey kar
Raastey main rula dena

Aadat si bana li hey
Tere shaher ke logon ney ...
  

Jun, 03 2010     466 chars (3 sms)     2759 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Raat Ki Rani Hy, Ya
Teri Yaado''n Ki
Khushbuu

Kuch Tou Hy, Jo
Aangan Mere Ehsaas
Ka Mehka Deta Hy !!!
Main bus ek bar la''jawab hua Faraz...!

Kisi apne ne kaha jab kon ho tum?
Jab humne unse pucha sapna kya hota hai to unhone kaha band aankho mein jo apna hota hai khuli aankhon mein wahi sapna hota hai.....!!!!
Bas Ek Tum Hi Nahi Thay

Meri Takmeel Mein Shamil

Mere Apne

Ajnabi

Sab Hi Shamil Thay

Phir Aisa Kyun Hua .. ?

Ek Bas Tumhary Jane Se

Meri Zaat Mein
Ashuura-pan

Baanjh Rutto''n Ki Terha

Theher Gaya Hy ... !!
Ab un say gila kya karna is jahaan mein,
"GALIB",,,


Shayad hum he unki yaad k qabil nahi rahe......
Suna Hai Ghair Ki Mehfil Main Tum Na Jao Ge


Kaho Tou Aaj Saja Loon Ghareeb Khane Ko
Jis Shakhs K Liye Hum Ne Saari Hadain Tor Deen,

Us Shakhs Ne Humain Aaj Kaha Hai K Apni Had Mein Reh Kar Baat Karo.
Koi ehd b us ko yad nhi,

koi bat b us ko yad nhi.

ik shkhs nay us ko chaha tha,wo zat b us ko yad nhi.

jab shab ki bijli chamki thi,

aur badal tot k barsa tha.

hum dono jis main bhigay thay,

wo barsat b us ko yad nhi.

wo sahil darya phool hawa,

wo wada sath nibhanay ka,

aur shab bhar "chand" ko daikha tha,wo rat bhi us ko yad ni.

wo kehta tha main sunta tha,

main kehta tha wo sunta tha.

un lakhoon batoon main koi ik bat b us ko yad nhi.
be chainiyan simat kar sare jahan ki



jub kuch na ban saka tu maira dil bana diya
Tu CHAND Hai Is ZAMEEN Ka Aur Mein Soraj

Yahi Vajah Hai Ke Apnay Darmayan DOORI Hai

Rok Na Mujh Ko, Daihk ZID Na Ker

"Teri CHANDNI Ke Liye Mera Dobana Zaroori Hai..
Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay
Usney kaha mujh sey kitna pyar hai, mainey kaha

Setaroon ka bhi koi Shumar hai.

Usney kaha kon tumhain sub se azeez hai,

mainey kaha Dil pe jiska Ikhteyar hai.

Usney kaha kon sa tohfa mein tumhein do,

mainey kaha wohi Sham jo Udhar hai.

Usney kaha saath kab tak nebhao gay,

mainey kaha jitnee Sanson ki raftar hai.

Usney kaha mujh ko yaqeen aye kaise,

mainey kaha mera Naam "AITBAR" hai..