Wo Keh Ke Chalay

Wo Keh Ke Chalay
Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay

Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan Jao Gi Barsaat Bohot Hay

Wo Keh Nay Lagi Jana Mera Bohot Zaroori Hay
Nahi Chahti Dil Toron Tera Par Majboori Hay

Gar Hui Hou Koi Khata To Maaf Ker Dena
Main Nay Kaha Ho jao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay

Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hay

Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bohot Hay
  

Jun, 03 2010     575 chars (4 sms)     2846 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

apane chehre se jo zaahir hai chhupaaye’n kaise
terii marzii ki mutaabik nazar aaye’n kaise
hum ko maloom hai tu nafrat nahi hai sitron se.

per yeh maloom nhai un k tootne ki dua kauon krti ho.
AB Ke Kerna To Aesi Chahat Kerna
Jisko Aata Hee Na Ho Sikwa Shikayat Kerna
Pehly Khusbu Ke Mizaj Ko Parak Lo
Phir Gulistan Mein Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
Arzoo-e-Dil ne hamay diwana bana diya.

Roay na thay hum kabhi, Humain rolla diya.

Hum ne to har waqat yaad kiya aap ko lakin,

Aap ne yaad karte karte Zamana laga diya..
ik baar ke milne ko joo payar samajhte hai.
pagal hai magar khud koo hushyaar samajhte hai.

chahat ki ibadat ko jo roog samajhta hai .
hum ese masiha ko bimar samajhte hai.

tufan se nahee darte lehroo se nahee darte.
hum loog bhawar koo bhi pat war samajhte hai.
Wo jo Dawedaar hY Shaher main,

k sabhee ka Nabz shanaas Hon,


kabhee Aa k mujh saY To poochta


k


main kis k Gham main UDAAS Hon.
Yeh soch kar us ki har baat ko sach maana hai Faraz...



Ke itnay khoobsurat lab jhuth kaise bolain gay...
faqat sans chalne ko log agar use jeena kahte hain.

tu use kah do k tere baghiar main khosh hon.
Zakham Aisa Diya Ki Koi Dawa Kam Na Aye
Aag Aise Lagayi Ki Paani Bhi Bujha Na Paye

Aaj Bhi Rote Hai Unki Yaad Main
Jinhe Humari Yaad Kabhi Na Aaye
Usay janay ki juldi thi
Mujhe us ne bataya tha
Mohabbat karne wale pyar main dhoka nahi karte
Jub koi baat karta ho usay toka nahi karte
Jisay janay ki juldi ho usay roka nahi karte
Unhi batoon batoon main
Mujhe ab yaad aya hai
Usay janay ki juldi thi
ZAHID SHARAB PENE DE MUJE MASJID ME BETH KAR
HAI KOI AASE JAGHA BATA JAHA KHUDA NAHI

MASJID KHUDA KA GHAR HE KOI PENE KE JAGA NAHI
KAFIR KE DIL ME CHALE JA WAHA KHUDA NAHI

KAFIR KE DIL SE HE DEKH KAR AAYA HO FARAZ
US KE DIL ME B KHUDA HIA LEKIN USE PTA NAHI
chirag laikar mein dhundata hun wafa kahan hai wafa kahan hai,
Bata dey mujh ko jahan k Malik hai nirkh kitna dukan kahan hai,
mein aisey rehbar k payoon choomoon jo yeh bataye wafa kahan hai,
hai saari duniya hee chakar-e-banwar mein ya sirf mera hee imtihan hai?