woh mujhsay besabab

woh mujhsay besabab
woh mujhsay besabab uljha nahi tha,
woh pehlay tu kabhi asa nahi tha,

buhat ala tha uska zarf laykin,
woh meri zaat ko samjha nahi tha,

woh jaisay berukhi say chal dya tha,
main itna bhi gaya guzra nahi tha,

usay main kyun bura theraoon yaroo?
woh acha tha....faqat mera nahi thaa!
  

Jun, 03 2010     295 chars (2 sms)     2682 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Poocha rooh nikalti hai jism sy kis tarah?Hath us ny hatoon sy chura kr dikha diyapoocha mehshar sy pehlay qayamat hai kiya??Nakab usny ruh sy utha kr dikha diyaPoocha k yeh her taraf khizan c kyoun hai???Mehfil sy khud ko utha kr dikha diyaPoocha ek diya jo hawa sy na bujh saka??Diya us ny wafa ka jala kr dikha diyaPoocha k aakhir yeh hassad hai kiya cheez??Us ny kisi aur ko apna bana k dikha diya...!
Elaaj Iska Bhala Kia Tujeh Bataon Mein
Bicher K Agar Tujhko Yaad Aaon mein
Tujhe manaon Her Bar Rooth Jane Per
Tu Zindagi hai Tujhe Kese Bhool Jaonga Mein
Mohabbat Muqaddar Hy Ek Khwab Nahi

Ye Wo Rishta Hy Jis Main Sab Kaamyab Nahi

Jinhai''n Saath Mila Unhai''n Ungliyo''n Pe Gin Lo

Jinhai''n Mili Judai Un Ka KOi Hisaab Nahi
aaj ki raat bhi mumkin hy na so skon mohsin,

yaad phir aaey hain neendon ko urranay waly..!
Baho me lelo mujhko ki tanha hu mai,dhadkan me basalo mujhko ki tanha hu mai,tum nai to jahan me kuch hi nahi,mujh me samaa jao k tanha hu mai
mujh mian aib soo honge magar ek khobi hai.

mian kisi ko raste mian chorda nai karta.
Manzilo ki har sadak aap ke naam,
Mohabbat ki har adda aap ke naam,
Pyaar bhari har nigah aap ke naam,
Aur aaj labon par aaane wali har dua aapke naam
Gham-E-Zendagi Teri Raha Mein
Shab-E-Arzo Teri Chaha Mein

Ju Ujar Gia Wo Basa Nahi
Ju Bichar Gia Wo Mila Nahi
Har darkhan k sath dil
tera naam leta hai,

Tera khayal meri tooti sansoon ko tham leta ha,

Jab bhi tanhaeyan
Satati hai,

Tera tassawor mera haath thaam leta hai.>
aapke khyalon se fursat nahi milti
humein ek pal b rahat nahi milti
mil to jata hai sab kuch humein
nahi milti to bas apki ek jalak naji milti
Kal jo hume hassen or sub se payra lagta.

aaj wo hi qatil-e-jaan sub se bura laga.
Zikr-e-shab-e-firaq se wehshat usay bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye chehroon k deed ka
Rasta badal k chalne ki adat usay bhi thi

Us raat dair tak wo rahaa mahv-e-guftagu
Masruf main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

Sunata tha wo bhi sab se puraani kahaniya
Taza rafaqaton ki zarorat usay bhi thi

Mujh se bichhar ke sheher main ghul mil gaya wo shakhs
Halan k sheher bhar se raqabat usay bhi thi

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha, jee gaya
Warna har ek saans qayamat usay bhi thi

Asrar na jaan khud ko nakam k bad-zauq
Wo mana nahi par tujh se muhabat usay bhi t