Tu Nay Kaha K Ishq

Tu Nay Kaha K Ishq
Tu Nay Kaha K Ishq Tu Dhong Hai
Tujhay Ishq Ho Khuda Karay

Koi Tujh Ko Us Say Juda Karay
Teray Hont Hansna Bhool Jaein
Teri Aankh Pur Num Raha Karay

Tu Uski Batein Kia Karay
Tu Usko Dekh K Ro Paray

Tujhay Hijr Ki Woh Jhari Lagay
Tu Milan Ki Har Pal Dua Karay

Teray Khuwab Bikhein Toot Kar
Tu Kirchi Kirchi Chuna Karay

Tu Nagar Nagar Phira Karay
Tu Gali Gali Sada Karay

Tujhay Ishq Ho Phir Yaeen Ho
Usay Tasbihon Pay Parha Karay

Mein Kahon K Ishq Tu Dhong Hai
Tu Nahi Nahi Kiya Karay
  

Jun, 03 2010     513 chars (4 sms)     3151 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Yeh bhi saach hai ke nahi koi rishta tujh se...
Jitni umeedein hain wabasta hain tanhan tujh say....
Yeh alag baat tujhey toat ke chaha laykin....
Dil bemaya nain kuch bhi nahi chaha tujh say..!!
Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja,
Tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
Tumhare khel ko me samaj na saka,
Tumko bewafa kehne ka kabil na raha
agar pata hota kh tum aao ge yadon main.

tu hum sanwrte or sajte zaror...
Raaton mein aagar na ashk bahaun tou kya karoon,
Ik pal bhi us ko bhool na paun tou kya karoon,
Maine suna hai un ko andhare nahin pasand,
Raahon mein ab main dil na jalaun tou kya karoon,
Tum hee kaho chhod day jab zindagi bhi saath,
Phir maut ko gale na lagaun tou kya karoon,
Socha thaa kee chhod doon un ki gali,
Lekin kahin qaraar na paun tou kya karoon,
Tareekion Se Shikwa main Kis happ se krta ''m0hsin''

in Ujaon ne Kon Si Meri Tanhayan Mita Dein
yai bata ke tera atebaar kaise karen
Bharam hi toot gaya ab Pyaar kaise karen
Khiza khiza rahi hai yeh zindagi apni
Rutein badal ke is se hum bahar kaise karen
Jab us ki baat per hum ko yaqeen na raha
Ab aur us se Qol-o-Qaraar kaise karen
Wafa shuaar to ab woh nahi raha
Ab us bewafa ka intezaar hum kyun karen
apni"galtiyon"se taqdeer ko"badnam"na kar"ghalib"

taqdeer to khud"himat" ki"mohtaj"howa karti hai..
Gham k Saaye uski janib se hta dooN lakiN

Mere Bas main nahi haathon ki Lakeerain Likhna
kuch log khatoot ki tarha hoty hain
k bar bar parhney ko dil karta hai
or kch log ashkon ki tarha hoty hain
k sijdy me sir jhukaty hi ankhon se tapak party hain
Sitaro''n Jesi Ye Aankhai''n
Ye Chaand Sa Chehra

Tumhara Silsila Kuch
Aasmaan Se Milta Hy ... !!
mana k mera katil bhi wohi tha.
saray shehr mai tarif k kabil bhi wohi tha.
kehta tha apna hoon apno mai rahuga
bani jo saf e ghair to sab se aage bhi wohi tha.
Wo aayee thi khwabon main kuch is tarah
Laga aisa ki chand ka deedar ho gaya
Jaise hi hamari aaknhen khuli
Haqueeqat main bhi unka deedar ho gaya