Usay maine hi likha tha

Usay maine hi likha tha
Usay maine hi likha tha


Usay maine hi likha tha
k lehjey barf ho jayein
to phir pighla nahi kartey
parinday dar k urr jayein
to phir lota nahi kartey
usay maine hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayed
kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi toofaan
kabhi barish nahi lata
usay maine hi likha tha
k sheesha toot jaye to
kabhi phir jurr nahi pata
jo rastey se bhatak jaye
wo wapas murr nahi pata
usay kehna woh be''maani adhoora khat
usay maine hi likha tha
usay kehna k deewanay
mukammal khat nahi likhtey...!
  

Jun, 03 2010     527 chars (4 sms)     4512 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tum nay apnay pehlay khat main
apna pehla khawab lihka tha
khwahish ki pehli barish main
khud ko khilta phool lihka tha
lakin tum nay pehlay khat main
anjanay say khauf main a ker
yai kyon lihka?
khawab adhoray reh jatay hain
khawahish pori kab hoti hay
sari khusboo ur jati hay
phool akhir murjha jatay hain
Khush ho ay dil mohbbt to nibha di to ne,
log ujar jatay ha anjaam se pehlay pehlay
ab teray zikar pe hum baat badal daite ha
kitne raghbat thi teray naam se pehly pehly
samne umar pari ha shab-e-tanhai ki,
wo mujhay chor gaya sham se pehly pehly.../
sapne aakhir sapne hote hain,
unke poore honeki umeed mat karna....
koi aaye ya na aaye,
tumm apni aankhen nam na karna....
yeh zindagi tumhari apni hain,
ise kisike liye khudse juda mat karna....!
yeh mausam sabz patoon ka

sunahri dhoop kirnoon ka

hamien kab raas aaya hai

hamari zard aankhoon ne banjar khwab hi dekhey

keh apni khwab aalood hasti main

aatab alood basti main

koi khushboo na aanchal hai

koi jhonka na badal hai
Daagh-e-Sajood ager teri Peshani pey huwa to keya,

Koi aeysa SAJDA bhi ker k Zameen pey Nishan rahey.
Saat Pardon Mein Chupa Kar Rakhte Hein Apni Zaat KO.!

HuM To Woh LoG Hein Jo KHuD Par Bhi KHuLTe Nahin.~!
Meray nazdeek aa k dekh meray ahsas ki shiddat"MOHSIN",


Mera dil kitna dharakta hai teray naam k sath..
Chalo us Ka Nahi Khuda Ka Ehsaan Lete Hyn

Wo Minnat Se Nahi Mana Tou Mannat Maan Lete Hyn
Tere Siwa KHUDA Ne Bohat Kuch aata Kia
Tujhko Na-Jane Kis Liye Mujhse Juda Kia
Wo Zindagi Jo Phool Se Zada Haseen Thi
Teri Talab Mein Humne Usey Bhi Khafa Kia
Main Nay JEE Bhar Kay TujH ko Daikh Liya
TujH Ko ULjHa Kar Kuch Sawaaloon Mien…!!!
Tute Dil ka har Tukra ye Kehta hai
Pyaar na karna
Pyaar to bas ek dhoka hai
. . Kaha Sirf us Ne
Itna Ke Khamoshi
Hai Mujhe Bohat Pasand . .


Itna Sun''na Tha Ke
Hum Ne Shor Machati Apni
Dharkanen bhi Rok lee..