Kuch khawab hain

Kuch khawab hain
Kuch khawab hain jin ko likhna hai
Tabeer ki surat deni hai
Kuch loog hain ujaare dil waale
Jinhain apni mohabbat deni hai
Kuch phool hain jinko chunana hai
Aur haar ki surat deni hai
Kuch apni neend baqi hai
Jisse bantana hai kuch loogon mai
Unko bhi to rahaat deni hai
Aae umer-e-rawan!
Ahista chal
Abhi khasa karz chukana hai.
  

Jun, 03 2010     341 chars (3 sms)     2690 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Khizao''n Main
Hota Hy Imtihan
Wafao''n Ka

Jo Shajar Ko
Hon Pyare,
Wo Pattey Nahi Girtey
agar wo wajah na pochay tu ik baat kahon"mohsin"

bin us k ab hum say bhi jiya nahi jata..
Tm Jis Phool Ko Hans Kr Dekho Kbhi Na Wo Murjhay
FARAZ

Tm Jis Hurf Py Ungli Rkh Do Wo Roshn Hojaye..
Phoolon Ki Tarha Lab Khol Kabhi...
Khushboo Ki Zubaan Mein Bol Kabhi.....


Yun toh gham sab ki zindagi mein hai
Zabt lekin kisi kisi mein hai
Us ne sun kar ghazal kaha meri
Kitna dukh teri shayari mein hai....
Youn To Baat Kuch B Na Thi Muger Uss Ka 1 Dam.

Honto''n Pe Hath Rakh Kar Rokna Acha Laga......(
Q raat ki rait py bikhray huye,
Taron k kankar chunti ho,
Q sannatay ki silwat main,
Lipti awazain sunti ho,
Q apni pyasi ankho ki,
jhalar main khab proti ho?
Q roti ho?
Ab kon tumari ankho main,
Sadyo ki need undailay ga,
Ab kon tumari chahat ki,
Haryali main ghul khailay ga,
Ab kon tumari tanhai ka,
An dekha dukh jhailay ga?
Ab aisa hy.....
Ye rat musallat hy jb tk,
Ye shammain jalti hain jb tk,
Ye zakhm jaha tk chubtay hain,
Ye sansain jb tk chalti hain,
Tum apni soch k jangal main, rah bhatko aur kho jao...
Ab so jao... O_o
uss badnasib-musaafir ki qismat ko kya kahen

mohsin

dam torr diya jis ne manzil k saamne...
wada na wfa krty wada tou kia hota,
umeed tou band jati taskeen tou ho jati,
Wo Kitny Mehraban The K Hazaron Gham De Gaye Faraz
Hum Kitne Khud Gharz Nikle Kuch Na De Sake Piyar K Siwa
usey apney farda ki fikar thi,
wo jo mera waqif-e-haal tha

wohi us ki subhey urooj thi,
wohi mera waqte zawal tha

kahan jao gey mujhy chor k,
main ye pouch,pouch k thak gaya

wo jawab na mujh ko dey saka,
wo tou khoud sarapa-e-sawal tha

usey meri chup ney rula dia,
jise guftogu main kamal tha
Khwab bn k koi aye ga to neend aye gi

ab wohi ah k sulaye ga to neend aye gi

dil ki wo bat jo ankhu se beyan hoti hai

koi honto se sunaye ga to neend aye gi.
mjhe har roz ye guman hota h sham ke bad
aj her hal man jal jae gi jan sham ke baad