Din kuch aisay guzaarta

Din kuch aisay guzaarta
Din kuch aisay guzaarta hai koi
Jaisay ehsaan utaarta hai koi
Dil mai kuch yun sambhaalta hun gham
Jaisay zevar sambhaalta hai koi
Aaina daikh kar tassali hui
Hum ko is ghar mai jaanta hai koi
Pakk gaya hai shajar pay phal shayad
Phir say pathar uchaalta hai koi
Der say goonjtay hain sanaatey
Jaisay hum ko pukaarta hai koi
  

Jun, 03 2010     334 chars (3 sms)     2668 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Suljha Hua Sa Fard Samajhty Hain Mujh Ko Log.




Uljha Hua Sa Mujh Main Koi Doosra Bhi Hae !!
RaaT Mein Yun SaJJ-DhaJ KaR ChhaT Par Na Jana TuM!


ShehaR Mein EID Ki Tareekh BaDaL JayeGi.~!
Mere Din Raat Mushkil Mein,
Sukoon Ek Pal Nahi Mujh Ko...
.
Mohabbat Taras Kha Mujh Par Mohabbat Chorh Ja Mujh Ko....
Mere Dil Mein Koi
Masoom Sa Bacha Hy
Wasi ...

Jo Tujhey Sochta Rehta
Hy Shararat Ki Terha !!!
mohsin us ki hansi main chupy dard ko mehsos tou kr
wo tou unhi hans hans k khud ko sza daita hai
Dil lagta nhi he ab tumhare bina
Khamosh se rehne lage he hm tumhare bina
Jaldi laut aao
Ab yahi chah he
Warna ji na sakenge tumhare bina
Woh Nazar aya Chand Eid KaAur Tumhari Yaad Bhi Ayi HaiHum Tu Aye Bewafa Tere LiyeJhote Hi Mehendi Lagayi Hai--Eid Mubarak Hu Tumhe Is TarahHum Ne Chaha Tha Tumhe Jis Tarah..
Kisi khas ko nazarandaz kiya nhi jata,

jinhe bhul nhi skte unhe yaad kiya nhi jata.

Ye yaadein to sahil hai un lamho ki,

Jin lamho ko dobara jiya nhi jata.
UskA Naam likh likh ker mitana bhool jata hoon
uSse jab yaad kerta hoon zamana bhool jata hoon
Bohat si aisi baaten hain jo mere dil main rehti hain
Magar jab usse milta hoon batana bhool jata hoon
Main yeh har shaam kehta hoon usse ab bhool jaoon ga
Magar jab subha hoti hai bhulana bhool jata hoon...
Rakhay khuda nay do rastay mujhay azmanay k liye
Woh chor day mujh ya mein chor doon usay zamanay k liye
Kaisay maang loon rub say usay bhool janay ki dua
Hath uthtay nahi hain dua mein usay bhool janay k liye
Nahi ki zindagi mein meinay koi bhi neki
Par parhi hain chhup k kuch namazein usay panay k liye
Nahi hai tu na sahi who qismat mein meri
Par aik mauqa to day usay ay RAb yeh aansu dikhanay k liye
Ishq ki log ye aksar hi saza dete hain,
Chahane walon ko apne wo bhula dete hain,
Husn paband wafa ka nahi hota hai Amad,
Apne hi jeson ko wo dil main jaga dete hain.
Bik Raha Tha Waqt k Bazaar
Mein Meri Ghairat Ka Lahuu

Mudd k Jo Dekha Tou Apna
Hii Dost Kharidaar Nikla ...