KIS KO MALOOM THA

KIS KO MALOOM THA
KIS KO MALOOM THA
Yonhi chaltay hoay raston main kai hum safer jo milay
Aur bichertay gaay
Aatay jatay hoay mosmon ki tarhan
App hi apni gard e safer hogaay
Na kabhi main nay phir mur ker dekha unhain aur na socha kabhi
Wo kahan kho gaay
Jo gaay,so gay
Phir yah kaisay hoa
Yon hi ik ajnabi,dekhtay dekhtay
Dil main utra,nazar main sama sa gaya
Aur dhanak rang jazbay saja sa gaya
Jaisay badal koi,bay irada yon hi,meri chat pay ruka
Aur bersay bina is per thera raha
Kia tamasha hoa,samnay thi nadi aur koi tashna lab
Is ko takta gia aur pyasa sa raha

Aik lamhay main simtay gi yah dastaan
Kis ko maloom tha!tum milo gay mujhay is tarhan bay guman
Kis ko maloom tha!
  

Jun, 03 2010     687 chars (5 sms)     2689 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kaifiyat mere ishq mein itni hai,
Door jaa jaaker bhi tu laut ke ayegi..!!

Nahi mitega mera saya tere ankho se,
Har ashq mein tu apne mujhe hi payegi..!!
Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye
aag aisi lagayi ke paani se bhi na bhuj paaye
Aaj bhi rote hai unhe yaad karke
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE
Khushi Mili Lekin Hans Na Sakey,
Gham Mila Lekin Ro Na Sakey,
Zindagi Ka Yahi Dastoor Hai,
Jise Chaha Use Paa Na Sake
Jise Paya Use Chah Na Sakey..
Sulaah ke zamany mein..

Mujh ko aysa lagta hai..

Wo agar bechar jaye..

Tu sirf itna dukh ho ga..

Jitna aankh khulney par..

Khawab toot janey ka..

Par ajab tamasha hai..

Wo agar kabhi mujh say..

Yoon hi ruth jati hai..

To kainaat ki har shey..

Toot phoot jati hai..!
kaha us ney,k aakhir tum,bhula do gey mujhey ek din...

kaha main ney,karoon main kia,k mar jana muqaddar hai....
Ajb rang hai insaan ki fitrat,,

Gila hai jis se,, ussi se pyar b hai...!
Aankho mein kyun aanso jalak jaate hai,
Tanhaiyo mein kyun gham yaad aate hai,
Aanso poch kar koi yeh bata de humein,
Aksar zindagi mein ghum barbar kyun ate hain...
Guzare Huve Kal Ki Yaad aati hai,
kuch lamhon se aankhen bhar aati hain,
woh subah rangeen shaam nirali doob jati hain,
jab aap jaise doston ki yaad aati hai.
Ek Naam kya Likha Tera Sahil ki Rait per,
Phir Umar Bhar Hawa se Meri Dushmani Rahi…
khushk tinko se ghar bana raha hon mohsin,

ye janta hon k mizaj-e-yaar aag jesa hay.
Khushbu Ki Tarah Dil Mey Basa Kar Usay Dekhun,


Haathon Ki Lakeeron Mey Saja Kar Usay Dekhun,


Dil Usko Chahay Bhi Zara Dair K Liye,


Khud Ussay Larun Aur Phir Mana Kar Usay Dekhun,


Sheeshay Sa Dil Hai Uska Kabhi Jo Dukh Jaaye,


Palkon Se Dukh Chun Lun Aur Phir Usay Dekhun,


Uski Khatir Main Zeher Hans K Pee Lun,


Jab Jaan Nikal Jaaye Tab Phir Usay Dekhun,


Uske Lot Anay K Intezar Ki Khatir "Kash",


Sari Umar Mey Bita Dun Aur Phir Usay Dekhun.../
taalash meri thi aur BHATAK raha tha wo.
dil mera tha aur DHARAK raha tha wo.
PAYAR ka taaluq ajib hota hai.
payas meri thi aur SISAK raha tha wo.