Ghere rehti hai mujhe

Ghere rehti hai mujhe
Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
Teri yaadon se har ek saans saja li maine,
Jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
Bas wohi ek ghazal sabse chupa li maine....;->
  

Jun, 03 2010     178 chars (2 sms)     2487 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Pyaar me maut se darta kaun hai,
Pyaar ho jaata hai karta kaun hai,
Aap jaise dost par duniya qurbaan,
Aur aap kehte ho ke hum par marta kaun hai
Unse roz milne ko DIL CHAHTA HAI.....
Kuchh sunne sunane ko DIL CHAHTA HAI.....
Tha kisi ke MANANE KA ANDAZ aisa....
Ki phir RUTH jane ko DIL CHAHTA HAI....
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
Aaj Tu Yeh Naqaab Hata De,
Apna Pyara Sa Chehra Mujhe Dikha De,
Aaj Tu Haya Ke Sabhi Parde Gira De,
Aaj Tu Mujhe Apni Sanson Mein Basa De.
Ye Laazmi Nahi K
Hu Ko Ha Din Yaad Kro !!!

Magar Bhuul Jao Is
Ki Ijazar Nahi Tumhai''n !!!
Wo
yaro ki
Wo
muskrate
pal
Dil se jura hai
apna
bita hua kal
Kabhi
guzarti thi
zindagi
Waqt
bitane
me
Aj
waqt guzar
jata hai
Un
yado ko
jutane me.
Rishte to sabhi anmol hote hai,

par isse ahmiyat kuch acche log dete hai,

Dil to sabhi ko deta hai khuda,

par isme jagah kuch aap jaise dost hi lete hai
Sachi hai meri dosti azmake dekhlo,

Karke yaki mujpe mere paas aake dekhlo.

Badalta nahi kabhi sona apna rang,

jitni baar dil kare aag laga kar deklo
Agar zindagi mein judai na hoti,
To kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Saath hi gujarte har lamhe to shayad,
Rishton mein ye gehrayi aayi na hoti...
us ne milne ki bhi ajeeb sharat rakhi sagar

Chal ana tha sokhe paton par lykn koi ahat na hu...
Mey apni Zaat chor aya hun,
Hijr ki raat choor aya hun.
Chala aya hun us ki mehfil sey,

Kuch Shikayaat choor aya hunn.
Ki teri Baat ki qadardani,
Mey apni baat choor aya hun.

Rukhsat ho ker mein fani dunya sey,
Sub kharafat choor aya hun.
Ek asasa thay yey mera

Dil kay jazbaat choor aya hun.
wo loot kar aya tu maang raha tha mujh se apne kaye ki mafi..

uski aankhon ki nami or mosmeat ne maaf karne par majboor kar daya mujhe..