har dil mai dard daba hota hai,

har dil mai dard daba hota hai,
har dil mai dard daba hota hai,

bayan karne ka andaaz juda hota hai,

kuch log ankhon se dard baha lete hain,

Or kisi ki hansi mai hr ghum chupa hota hai...
  

Jun, 03 2010     165 chars (2 sms)     4383 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages


CHup CHaap tamasHa daikHay ga boLa tHa zamana tHeek naHeen
KHamosH sitaroon ko takna aur aansoon bHana tHeek naHeen
Main jHooti sacHi baatoon se kHud ko beHLa Longeen Lekin
MiLna Hee naHeen to sacH boLo fursat ka bHana tHeek naHeen
Yaad Kerne Ko Hyn Dil Main
Hazaro''n Baatai''n

Par Meri Yaad Tou Uljhi Hy
Teri Zaat K Gird

Jab Tak Meri Duao''n k
Tum Hisar Main Ho

Ek Bhi Dukh Nahi Aayega
Teri Zaat K Gird ...
waqat bhi shayad insaan ki terha hai faraz.

hanste howe ata hai or roty howe guzer jata hai.
Hum se dilchasp kabhi sache nahin hote hein..
Ache lagte hein magar ache nahin hote hein..
Chand mein burhiya,buzurgon mein khuda ko dekhein..
Bhole ab itne to ye bache nahin hote hein..
Koi yaad aaye humein koi humein yaad kare..
Aur sab hota hai ye qisse nahin hote hein..
Koi manzil ho bohot duur hi hoti hai magar..,
Raaste wapsi k lambe nahin hote hein..
Aaj taarikh to dohrati hai khud ko lekin..
Is mein behter jo the wo hisse nahin hote hein..!!
Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say“
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say
Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Jante Houn Jisay Zamany Say
Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say
Jab Say Apno Say Chaut Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say
Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
“Dil Ki Batyen Hain Bas Fasanay Say “
mahfil mian sub k labon per meri tareef k fasane thy.

lykn ek shakhs phir b mere qatal ka irada rakhta tha.
Dil ki Halat batana nahi aata …
Kisi ko aisey Tarpana nahi aata ….
Sunna chahte hain ek baar Aawaz aap ki …
Magar baat karne ka Bahana nahi aata
Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
Bad mudat usay dekha logo
Wo zara bhi nahi badla logo
Kush na tha muj say bichar kar wo bhi
Uss k chehray pey likha tha logo
Uski ankhein bhi kahay deti hain
Raat bhar woh bhi nahi soya logo
Ajnabi bun k jo guzra hai abhi
Tha kisi waqt woh apna logo
Dost to khair kon kiska hia
Uss ney dushman bhi na samjha logo
Raat wo dard meray dil mein utha
Subho tak chain na aya logo
Piyas sehraon ki phir tez hui
Abhr phir toot k barsa logo
Karke mujhe deewana jaa rahe ho kyo,

Kaise kiya tha Humsafar banne ka Vada,

Ye jara likh dena!

Agar teri nazaro me mera pyar Ek zurm hai to

Tum apni taraff se

Mujhe koi Saza Likh dena.

Teri bewafaayi ka kissa jab jab yaad aayega
mere tan badan mein ek aag si bharkaayega
jo tu ne kiya koi dushman bhi nahin aisa karta
dekh lena ek din tu bhi bohat pachtaayega
Aik Dewana Ye Kehtay Huye Hansta Jaata

"FARAZ"

Kaash Manzil Say Bhi Aagay Koi Rasta
Jaata . .