Roz Subha Khud Say

Roz Subha Khud Say
Roz Subha Khud Say Ek Wada Kartay Hain
Tujhay Iss Dil Say Bhulanay Ka Irada Kartay Hain
Apni He Baat Say Mukkarr Jatay Hain Maloom Nahi Kyoun
Bheegti Ankhon Ko Khuwab Tornay Ke Liye Amaadah Kartay Hain
  

Jun, 03 2010     204 chars (2 sms)     2392 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Naam Na Lena Qasid Faqat Itna Hi Keh Dena,


Jinhy Tum Bhol Bethy Ho Wo Aksar Yaad Krty Hai
Parastish ki Tamana hy

magr Hai re majboori

SANAM jiss se Trasha jaye wo pathar nhi Milta.
Mohabbaton mien hawas k aseer hum bhi nahi...
Galat na jaan itney haqeer hum bhi nahi...

Nahi hai tu bhi qayyamat ki tand-o-tez hawa...
Kisi k naqsh-e-qadam ki lakeer hum bhi nahi...

Karam ki bheek na de tu aapna takht bakht sambhal...
Zaroratoon ka khuda tu,to faqeer hum bhi nahi...

Humien mitta de humari aana ko qatal na ker...
K be-zaraar he sahi be-zameer hum bhi nahi...
mujh mian aib soo honge magar ek khobi hai.

mian kisi ko raste mian chorda nai karta.
Wo rula ker hans na paya dair tak
jab mai roo ker muskuraya na dair tak

bhoolna chaha agar uss ko kabhi
Aur bhi wo yaad aya dair tak

bhookhey bachon ki tassali key lye
maa ney phir pani pakaya dair tak

jab mai roo ker muskuraya na dair tak

gungunata ja raha tha ik faqeer
dhoop rehti hai na saaya dair tak

Wo rula ker hans na paya dair tak
jab mai roo ker muskuraya na dair tak
Aa Kabhi Andherey Main
Dekh Suurat-e-Dunya

Rung Tou Tamasha Hy
Sirf Dhuup Chaao''n Ka
Shikwah hai meri chup ka Sarosh aaj unhii ko
jo log meri batoon se bezaar buhut thay
Main ab khayalon main teri tasweer banaoon magar kaise
Tu hi bata haal-e- Dil tujhe sunaon magar kaise,
Jo mahel banaye the khuwabon main humne
In mahlon main Wafa ke deep jalaoon magar kaise
Samay K Saath Gar Hum Bhi
Badal Jate Tou Acha Tha

Bohat Armaan Thay Dil Main
Nikal Jate Tou Acha Tha

Na Sheeshay K Hi Reh Paye
Na Pathar K Hi Ho Paye

Kisi ache Se Saanche Main
Jo Dhal Jate Tou Acha Tha

Giray Tou Yun Giray Pee Ker
Giraya Sab Ne Nazro’n Se

Zara Larkhara Kar Hi
Sambhal Jate Tou Acha Tha

Wo Hum Se Aise Roothey Hain
K Hum Andar Se Tootey Hain

Kisi Bache K Manind Hi
Machal Jate Tou Acha Tha

Safar Main Ho Koi Saathi
Tou Aasani Si Rehti Hai

Akaile Pan K Zalim Pal
Jo Tal Jate Tou Acha Tha
bakhsha hai thokroon nay sanbhalnay ka husla,

har hadsa khayal ko gehrai day gaya..
Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana ,

Na jaane kahan kho gaya vo zamana ,

Tumhen bhuulane ki ma koshish karunga ,

Ye vaada karo ke na tum yaad ana ,

Mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai ,

Tumhen bevafaa kah raha hai zamana ,

Khudara meri qabr pe tum na aana ,

Tumhen dekh kar shaq karega zamana .
aesi berbadi na kbhi dekhi ho gi tm ne
na koi raakh, na shola, na dhuan sham ke bad