Fraib tha unki hansi main

Fraib tha unki hansi main
Fraib tha unki hansi main,Ashqi samjh bathay


Maut ko hum apni zindagi samaj baithe,


ye wAQat ka mazaQ Tha ya hamari bAdnaseebi,


unki do baton ko mohAbAt samajh bathay
  

Jun, 03 2010     182 chars (2 sms)     5147 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mohabbat Thair Jaati Hai
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
magar aisa nahin hota....
yeh hargiz kam nahin hoti...
MOHABBAT THAIR JAATI HAI..
Apne liye maang loon Khuda se
Hisse main jo hain azaab uske

Waise to woh shokh hai bala ka
Andar hain bohot hijaab uske
sub se yun milna k jesay dil main koi dukh na ho,
mujh main ye khoobi hai sub khaamyon k bawajood
udasion mein jeena adat ban gai hai.

jin se umeed thi yad rakhne ki wohi bhool gaey
Manna K Hamari Zaat Main Buhat Aieeb Hain Magar..!!

Biktey Nahin Khuda ki Qasam Hum Ba Zameer Log..!!
Mohabat main ronay dhoney ka main ab qaael nhi raha.ao ik doojay k ho jaen..warna..warna

Khuda Hafiz :)
wo ayene main dekh rahe the bahar e husan.

aya mera khyal to sharma k reh gye,
chahay kassa mossam ho
chahay kassa b din ho
koi afsurda bat ho ya chahay koi b ghum ho
himatain nhi khona tum udas mut hona
zindagi k rastay main mushkilain to atti hein
sath chorr daitay hein
jo hanssi k sathi hein
muskurahatain magar nhi khona
tum udas mut hona
Mere Wajud Main Wafa
Ki Roshni Utaar De

Phr Itna Pyar De k Mujhy
Chahato''n Main Maar De

Bohat Udaas Tha So Uth
K Tere Paas Aa Gya

Kuch Aisi Baat Ker Jo
Dil Ko Chain-o-Qarar De

Suna Hy Teri Ek Nazar
Sanwarti Hy Zindagi

Jo Ho Saky Tou Aaj Meri
Zindagi Sanwar De
usne shugfuta mazaji ko naya mor deya.
mujh ko paaband-e-zanjeer kua or chor daya.
us ne aanchal se nakali meri ghum gasta kitaab.
or chupke se mhubat ka waraq mor daya.
Jo mile
hayat-e-khizar muje
Or usy mai
sarf-e-sana krun

Tera shukr phr b ada na ho
Tera shukr kese ada krun

Tere lutf ki koi had nhi
Ginu kis trha
k adad nhi
Nhi koi tere siwa mera
Jise yad tere siwa krun

Mai bht hi
ajiz-o-be-nawa
Tere Agey meri bisat kya

Mai kaha krun
Tu suna krey
Tu dya krey
mai lya krun

Tere dar pe khm rhey sar mera
Teri Rehmton mei guzar mera

Koi bhol hoto maf kr
Muje bakhsh de jo khata krun!
Aameen SumAameen,YaRabb al Aalameen.
kaise bataayein jashn mein kyoon ham naheen shareek Faraz.
hai din yahee to uss se bichharhane ke saal kaa.