kis ko qaatil main kahunn

kis ko qaatil main kahunn
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..
  

Jun, 03 2010     405 chars (3 sms)     2992 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mere Wajud Main Wafa
Ki Roshni Utaar De

Phr Itna Pyar De k Mujhy
Chahato''n Main Maar De

Bohat Udaas Tha So Uth
K Tere Paas Aa Gya

Kuch Aisi Baat Ker Jo
Dil Ko Chain-o-Qarar De

Suna Hy Teri Ek Nazar
Sanwarti Hy Zindagi

Jo Ho Saky Tou Aaj Meri
Zindagi Sanwar De
Tumhari Yaad Ki Dali

Utha Ker

Zubaan Pe Rakh Li Hy Maine

Ye Qatra Qatra Pighal Rahi Hai

Main Qatra Qatra Hii Jee Raha Hoon .
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,

Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,
Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho
Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho
Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho
Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho
To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho.
kantoon pe guzaar daitay hain apni saari umar..

kon kahta hai in pholoon ko koi ghm nahi hota..
aaj wo khud bhi ro parre mujhe kafan me dekh kr..


jo kehte the intzar hy mujhe apki maeyat pe muskurane ka..
Aik Zara Si Ghalti Se Shaak Ki Zard Tehni Pe
Phool Badgumani K Iss Tarah Se Khilte Hain
Zindagi Se Pyare Log Bhi Phir?
Ajnabi Se Lagte Hain
Ek Raat Guzre Aisi,

Ho Roshan Teri Zulfo Ki Chao Mein,

Simat Aye Tu Chand Ki Tarah Meri Panaho Mein,

Khwab Bunte Chale Hum Nigaho Nigaho Mein.
Soye jis raat ko hum,hijr mein rote rote
Khwab mein wasl huya ,subah ko hote hote

shama ki tarah se hum raat ko rote rote
Beh gai ansuon mein , subah ke hote hote

Jiske milney ki tammana thi,na paya usko
Ho gai umr bsar , jan ko khotey khotey ......
Dhoondte Kiya Ho In Annkhon Mein Kahani Meri,
Khud Mein Gum Rehna To Aadat Hai Purani Meri,
Bheer Mein Mil Jaoon Ga Asani Se Khoya Khoya Rehna Hai Nishani Meri.......
be-chain hum hi nahi aun ke yaad mai...
.
karwatain tou wo b badaltay hain raat bhar.
jab kabhi
koi yaad
achaanak ankhein chabho jae
to meri hatheliyon ke lams ki baaz gasht
honton se lagaana
use saanson se garm karna
or palkon ko band kar ke
ankhon se choom lena