Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aj bhi us ke paas hai
zindagi mein ayein hai kuchh daur is tarah,
sawan mein aate hain toofan jis tarah.
mujhe se door ho chuke woh mere apne kuchh aise,
ki marne ke baad jism se rooh jis tarah
Bicherte Waqt Kyun Na Perh Saka Nighaon Ki Zuban
Usey To Iss Fun Per Pura Uboor Tha
Ab Ek Mujrm Ki tarah Nadim hai Mujhe Chah ker
Kabhi Is Khata Per Usey bara Garor Tha
sapne aakhir sapne hote hain,
unke poore honeki umeed mat karna....
koi aaye ya na aaye,
tumm apni aankhen nam na karna....
yeh zindagi tumhari apni hain,
ise kisike liye khudse juda mat karna....!
Tanha Chor Kar Humko Hosla Bhi Detay Ho
Sans Cheen Kar Jeenay Ki Dua Bhi Detay Ho
Ik Taraf Judai Ka Tazkira Bhi Jaari Hai
Oar Muskuranay Ka Mashwara Bhi Detay Ho
rangish hi sahi, dil dukhane ke liye aa
phir se muje chore jane ke leye aa
kis kis ko bata e jaine jodai ka sabab hum
tu mugh se khfa he to zamane ke leye aa