Ye dunya hai yahan pey ye tamasha ho bhi sakta hai,
Abhi jo ghum hamara hai tumhara ho bhi sakta hai
.
na ye samjho k tum hi aakhri meri muhabbat ho,
muhabbat jurm hai hum sey dobara ho bhi sakta hai
.
samandar sey jo nisbat dy rahey hain meri chahat ko,
wo itna zehan main rakhain kinara ho bhi sakta hai
.
tera milna,bichar jana,bichar k pher sey mil jana,
hamesha ki judai ka ishara ho bhi sakta hai
.
tum apney aap ko hargiz koi ilzam mat dena,
ye souda hai muhabbat ka khasara ho bhi sakta hai
phira hun sare zamane main dar badar kesa
main tere bad bhi zindah raha mager kesa
woh janta tha k kuch roz wo nahi tha to main
pukarta raha usko edhar udhar kesa
kaise ho tum jo chodkar ja rahe ho,
aapne sab kasmey wadey todkar ja rahe ho,
teri dosti pe bahot yakin tha humko,
phir kis liye tum muh modkar ja rahe ho...
APNA PATA CHALE NA KHABAR YAAR KI MILEY
DUSHMAN KO BHI NA AISI SAZA PYAR ME MILEY
UNKO KHUDA MILE HAI JINHE KHUDA KI TALAASH
MUJH KO TO BAS EK JHALAK MERE YAAR KI MILEY