yaad toh har koi karega jaane ke baad,
sache pyar ka pata chal jaayega vaqt aane ke baad,
kaun kitni mohabbat karta hai,
nazar aajayega mar jaane ke baad,
Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.