Wada karte hai Dost

Wada karte hai Dost
Wada karte hai Dosti nibhayenge,

Koshish yahi rahegi apko nahi satayenge.

Jarurat pade to DIL SE pukarna,

kisi aur ke DIL me honge to bhi chale aayenge
  

Jun, 04 2010     160 chars (1 sms)     4951 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Band sheeshon k parey daikh,dareechon k udher…

Sabz pairon pe,ghani shaakhon pe,pholon pe wahan…

Kaise chup chaap barasta hai musalsal paani…….!

Kitni awaazain hain,log hain,baatain hain magar……

Zehan k peechey kisi aur hi satah pe kahin……..!!!!!!

Jaise chup chaap barasta hai tasavvur tera…………..!
¤~ S H I K W A Y ~¤

DOOR Reh kar b KAREEB kitnay thay..
.
FASLE bhi AJEEB kitnay thay..
.
Dard-E-Dil ki DAWA nahi warna..
.
Is JAHAN mein TABEEB kitny thy.
Tumako Dekhaa To Ye Kayaal Aayaa
Zindagii Dhuup Tum Ghanaa Saayaa

Aaj Phir Dil Mai Ek Tamannaa Kii
Aaj Phir Dil Ko Hamane Samajhaayaa

Tum Chale Jaaoge To Sochenge
Hamane Kyaa Khoyaa, Hamane Kyaa Paayaa

Ham Jise Gunagunaa Nahiin Sakate
Vaqt Ne Aisaa Giit Kyuun Gaayaa... :(
dil ke daryaa mein utar ke dekho
tum mohabbat mujh se kar ke dekho

phir tumhein meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichaR ke dekho

ishq ka saaghar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho

dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se dekho

pyaar kehte hain kise,zaraa tum
meri baahon mein bikhar ke dekho

mera gham mehsoos karna ho to
meri raahon se guzar ke dekho

kya asar hota hai berukhii ka?
meri chaahat se mukar ke dekho

jo mohabbat ne hai dekha,tum bhii
uski aankhon meiN sanwar ke dekho
Bayaan kar un say mera haal-e-dil....¡ Aye 'hawa''

mera dost yeh na samjhay k mujay us ki yaad nahi aati
Ajab rishta hai meray or us k darmyan

Mian us ka kuch b nahi or wo mera sub kuch hai
In ungaliyoun Ka Lams tha Aur meri zulf the

Gaisoo Bikhar rahey they to kismat sanwar Gayi. . . . . . !
Tanha Chor Kar Humko Hosla Bhi Detay Ho
Sans Cheen Kar Jeenay Ki Dua Bhi Detay Ho
Ik Taraf Judai Ka Tazkira Bhi Jaari Hai
Oar Muskuranay Ka Mashwara Bhi Detay Ho
Ankhen thi kahan itni sharabi pehle

Chehre the kahan itne kitaabi pehle

Aaina zara dekhiye boson ke baad

Kya hoth the itne hi gulabi pehle.
zalzalay younhi Besabab nahi atay Faraz,

Koi dewana tah-e-khak tarapta hoga...
100 khaloos baaton mein sab karam khaylon mein.

bus zara wafa kam hAi teray shehAr walon mein.
Sahil Ki Geeli Rait Pr
Main Ny Us Sy Poocha,


Tera Mashgala Kia Hai?


US Ny Palkain Jhuka Kr


Muskura Kr,



Mera ''Naam'' Likha Aur Mita Dia...!