Mohabbaton mein ham

Mohabbaton mein ham
Mohabbaton mein ham loag jhuka nahin kartay
Lafz MOHABBAT lab say adda nahin kartay
Jo palat kar dekhay per sadda na day
Us shakhs k liay ham ruka nahin kartay...
  

Jun, 04 2010     166 chars (2 sms)     2579 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

na gunwao nawak-e- neem jaan k dil reza reza gunwa dia
jo bachay hain sang samit lo k tan-e-dagh dagh luta dia..

meray chara gar ko naveed ho saf-e-dushman ko khbar kro
jo karz rakhtay thay jan par wo hisaab aaj chuka dia....

kro kuj jabeen pay sar-e- kafan meray katlon ko guman na ho
k gharoor-e-ishq ka baank pan,pas-e-marg hum nay bhula dia

yahan ek harf ki kashtnai wahan lakh uzr ki guftni..
jo kha to sun k ura dia jo likha to par k mitta dia...

jo rukay to kho-e-giran thay hum, jo chaly jo jan say guzar gaye
raahay yaar hum nay qadm qadm tujay yaad gar bna dia....
Ab WoH Samjha Meri Chamkati H0i Aankh Ka Raaz . . .



K Main Rota NAhi Aansu Ko Qaid Kr Leta Hon . . . !
yaadon ki kimat woh kya jane,
jo khud yaadon ko mita diya karte hain
yaadon ki kimat to unse pucho
jo yaadon ke sahare jiya karte hain
APNA PATA CHALE NA KHABAR YAAR KI MILEY
DUSHMAN KO BHI NA AISI SAZA PYAR ME MILEY
UNKO KHUDA MILE HAI JINHE KHUDA KI TALAASH
MUJH KO TO BAS EK JHALAK MERE YAAR KI MILEY
Tumharey waastay rakhay hain do tohfay,
Dil ibtida k liyeh'' Jaan intiha k liyeh..!
tumhy achi trha maloom tha kah main ghareeb hun.

phir bhi tum ne meri her cheiz tord di.
Chalo Mohabbat Ki Nai
Bunyaad Rakhty Hyn !

Khud Paband Rehte Hyn
Tumhai''n Azaad Rakhty Hyn !

Humare Khoon Mein RAB Ne
Taseer Hi Aisi Rakhi Hy

Buraiya''n Bhool Jatey Hyn
Achaiya''n Yaad Rakhty Hyn !

Ye Soch Kr k Ghustakhi Na
Ho Jaye Mohabbat Mein

Isi Liye Apna Khyal Tere
Khyaal K Baad Rakhty Hyn !
Tu Dekh Ya Na Dekh Tere Dekhne Ka Gham Nahi
Par Teri Ye Na Dekhne Ki Ada Dekhne Se Kam Nahi
Bichad kar tujhse zinda hoon meri taqdeer to dekho


Kabhi aakar mere haalat ki tasveer to dekho


Deke pyaar ki Daulat kharide hai aanshu maine


Mili Jo ishq main humko zara jaagir to dekho


Usne mujhe mehfil main dekha to kaha Rakeebo se


Mera Aashiq , mera pagal mera deewaana to dekho.../
MERY ashkon ko palkon peh machalna bhi nahin aata...
hasar-e-zabt say to mujh ko nikaln bhi nahin aata...
mujhy lagta hai jaisy main wo koi gham ka sooraj hoon...
keh jisy sham ho jany peh dhalna bhi nahin aata...
yehi wafa ka sila hy to koi bat nhi.
ye dard tum ne dia hy to koi bat nhi.
itna boht hy k tum dekhte ho sahil se.
safina dob raha hy to koi bat nhi.
kisi ki majal jo mujh ko kahe bewafa.
agr ye tum ne kaha hy to koi bat nahi.
ye mery bs me kahan k tujh ko bhul skon.
tu mujh ko bhul chuka hy tu koi bat nahi.
har dil mai dard daba hota hai,

bayan karne ka andaaz juda hota hai,

kuch log ankhon se dard baha lete hain,

Or kisi ki hansi mai hr ghum chupa hota hai...