gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
Tum jahaan bhi raho sada khush raho,
tumhe dil se main bhula rahi hoon aaj ...
tumharay pyar ki jo haseen yaadain hain dil main,
un yaadon ko louta rahi hoon aj ...
tumhari bewafai ka kya charcha karoon,
apni wafa pe sharma rahi hoon,
mujhe tumhari bewafai se koi shikwa nahi,
main tumhari zindagi se hi ja rahi hoon aaj ....!!
Na tujh ko chor saktay hain,tere ho bhi nahin saktay....
Yeh kaisi be basi hai aj hum ro bhi nahin saktay.....
Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaiy rakhta hai....
Tumhari yaad aati hai to hum so bhi nahin saktay.....
Dikha saktay hain,na he hum chupa saktay hain logoon se....
Kuch aisay daag hain dil k jo hum dho bhi nahin saktay....
Kaha tha chor dein ge yeh nagar,phir ruk gaiy laikin.....
Tumhain pa to nahin saktay,magar,Kho bhi nahin saktay....
Woh admi hai aam sa
Ik qisa na tamam sa
Na lehja bemisal hai
Na baat mein kamal hai
Hai dekhnay mein aam sa
Udasion ki sham sa
Jaisay ik raaz hai
Khu say beniaz hai
Na mehjabinon say rabata hai
Na shurton ka khab hai
Ranjha na qias hai
Insha na faiz hai
Woh pekar e ishlas hai
Wafa dua aura as hai
Tumhi karo faisala
Woh
Aadmi hai aam say a phir bhohat hai khas hai?
Suno...
Jab barish barsa kerte hai...
Aur her suu pani hota hai...
Hum aapne gher k aangan mien...
Amar byaal k saye mien...
boondoon ko dekha kerte the...
Aur tum ko soocha kerte the...
Suno...
Jab raat siyaah ho jate hai...
Aur chandni phela kerte hai...
Hum neele aasman k saye talee...
Taroon ko dekha kerte hien...
Aur tum ko soocha kerte hien...