Aisa kerna k chand say kuch matii lana..
Us matii say dow putlay(statue) bna''na..
Ik teray jaisa..
Ik meray jaisa..
Un putloon ko phir tum tor daina..
Un say phir dow putlay bna''na..
Ik teray jaisa..
Ik meray jaisa..
Ta k kuch kuch TUM mein HUM reh jain..
Kuch kuch HUM mein TUM reh jana...!!
"Tanhaiyo me muskurana ishq hai,
ek baat ko sab se chhupana ishq hai,
yu to nind nahi aati hume rat bhar,
magar sote sote jagna or jagte jagte sona ishq hai."
AaNsuoN ki zubaan hoti hai
Ye bhi
Aksar kalam karte haiN
Gar tumheiN na yaqiiN ho to
Kabhi
Mere aaNsuoN ko
Ghaor se dekho
Ye bhi
Tum se kuch kehte haiN
Zehar daitay hain aur kahtay hain k lena ho ga,
jab main le loon to kehtay hain k peena ho ga!
jab main pee loon to kehtay hain martay kiun nahi?
jab main mar jaon to kehtay hain jeena hoo ga!
dis shair is nt mine