Usoolon pe jo aanch aaye

Usoolon pe jo aanch aaye
Usoolon pe jo aanch aaye to takraana zaroori hai
Agar zinda hain to zinda nazar aana zaroori hai

Nayi umro ki khudmukhtaariyon (arrogance) ko kaun samjhaaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai

Thake haare parinde jab basere ke liye lautein
Saleeka mand saakhon ka lachak jaana zaroori hai.

Saleeka hi nahin shaayad use mahsoos karne ka
Jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai

Mere hothon pe apni pyaas rakha do aur phir socho
Ki iske baad bhi is duniya mein kuchh paana zaroori ha
  

Jun, 04 2010     522 chars (4 sms)     3143 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

subhu khud ko kholta hon rasi apny paon ki,

din dhaly khud ko kahen se pakr kar lata hon main,
kya chupaye ga naqab us k shaba ko GHALIB...

nigah-e-ishq se pathar bhi toot jate hain.
kuch ajnabi se loug they kuch ajnabi se hum
duniya mein ho na pai shanasa kisi se hum

dete nahi sujhai jo duniya k khat-o-khal
aai hein tairgi mein mager roshni se hum

yan to her ek kadam pe khala hai hawas ka
ae khizr ! baz aai teri hamrahi se hum

dete hein loug aaj isse shairi ka naam
perhtey they loh-e-dil se kuch ashoftagi se hum

rehti hai anjum aik zamaney se guftugooooo
kerte nahi kalaaaam bazahiiir kisi se hum
Pyaar ka to Dushman Zamana hai,
Har Aashiq ke Pyaar ka apna hi fasana hai.
Sab ko pata hai Ansu hi milte hai Pyaar me,
Phir bhi kyun har koi Pyaar mein Deewana hai
mujhe talash hai kuch ase shakhs ki

jo umer bahr k leye srif mera ho jaye.
Maut Ki Aakhri Hichki Ko Zara Ghaur Se Sun
~ GHaLiB ~



Zindagi Bhar Ka "Khulasa" Issi Awaaz Mein Hai...
ABHI TUNHA NAHIN HUA...!

Aray tu na ho saka apna
To kia ghum hai
Dekho
Chunda,poonum,taray
Yeh sham k nazaray
Falak,zamin yeh kuhsar
Keh rahay hain ghum na kerna
Woh badal gaya to kia hua
Hum to hain na hamesha tumharay...
Aj Mainy Osy Dekha Hai
Barsoon Bad
Dil Kuch Nae Andaz Se Dharka Hai
Barsoon Bad
Dil Chaha! K Barh Kar Roke Lo
Lakin
Zamane Ke Nigahoon Ne Saath Na Chora
Barsoon Bad
Dil Chaha! K Tery Rah Guzar ko Dekhta Hi Raho
Jany To Phir Kab Ay Barsoon Bad
Is bharay sheher main tanha karta hoon hawa say baatain.

parta hay har qadam zameen par maira majnu ki tarah.
Kabhi apne dil se bhi baat kiya karo
kabhi dil ki dhadkanon ko mehsuus kiya karo
rehte hai hum aap ke jism me dil bankar
kabhi apne dil par bhi hath rakh liya karo
chaloo ik nazam kaihtay hain
sub hee bay noor sobhoon per
sub hee bay rang shamon per
jinhain hum dil pai saihtay hain
chaloo ik nazam kaihtay hain


ju kal tuk khosh goomaa say thay
wo ab kyon bad goomaa say hain
in hee socho main raihtay hain
chaloo ik nazam kaihtay hain


bojha sa ajj hay dil bhe
tabeeyat bhe hay bojhal see
or ashak ankhon say baihtay hain
chaloo ik nazam kaihaty hain ...
Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye GumaaN Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi ImkaaN Baaqi Hai

Muddat Hoyi Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek NishaaN Baaqi Hai