Dooriyan buhat hain

Dooriyan buhat hain
Dooriyan buhat hain par itna samajh lo

Pass reh kar bhe koi rishta khaas nahin hota

Tum dil ke pass itnay ho ke

Doorion ka ahsaas nahin hota
  

Jun, 04 2010     149 chars (1 sms)     5657 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja

main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main
saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..

kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja...

na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
Tujhse kuch kehne ko dil karta hai,

Tere pass udh ke aneko dil karta hai,

Dil kehta hai chal laut chale,

Par tere pass rehneko dil karta hai
saaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai.
har dar pe jhuke sar ye merii shaan nahii.n hai
har lafz ko siine me.n basaa lo to bane baat
taako.n me.n sajaane ko ye quraan nahii.n hai
Khatayen Yad Rkhta hai
Wafaen Bhol Jata Hai

Wo Meri Chahton Ki Intehaen Bhol Jata Hai

Jo Pichly Jurm Hain Mery
Wo Unko Yad Rkhta Hai

Jo Main Nay Kaat li Hain Wo Sazaaen Bhool Jata Hai...!


Jany Kyon
Wo Mujh Ko Bhool Jata Hai,,?
Iss Qadar Hajoom Ho Teri Zindagi Mein Khushion Ka
Keh Gham Bhi Agar Guzarna Chahe To Usay Rasta Na Milay
Amin
Gam nahi waha jaha ho fasana tera,Khushiya dhundti rahe aashiyana tera,Wo waqt hi na aaye jab tu udas ho,Ye duniya bhula na sake muskurana tera..
jab se samjha humne hota kya ye pyar,
karne lage tabse kisi ka intezar,
manne lage unhe duaon me kitni baar ,
na jane kab hoga us chand ka didaar
Wo chahti hai mohabbat ki bheek maangun
Us ko maalum shayed meri khud-daari ki intiha nahin

Agar aazmanay par he raazi hai meri anna to dekhna
Mujh say barh k phir zamaanay mein koyi be-wafa nahin..
her ik mausam main roshni si bekhairtey hain sagar

tumharey ghum ke charagh meri udasiyon main.
Bari Mushkil Me Hu mai kaise izhar kru

Tu to khusbhu Hai tujhe kaise Giraftar kru
uski yadon me doob jata hun.
khud ko tanha kbi jo pata hun.

qatra qatra wajood se le kr.
khwahishon ko lahu piktata hun.

log khushiyan tajash karte hyn.
main to gham b khareed lata hun.

aj kal hy mizaj e dil barham.
rona chahun to muskrata hun.

roz kehta hun bhool jaon usay.
roz ye baat bhool jata hun!
nend aati hi nahi aankhon ki dehlizon tk
khali reh jata h aksar ye makan sham ke bad