Main yeh kehta hon ke

Main yeh kehta hon ke
Main yeh kehta hon ke
phir se dil lagana chahiye


Neend ki aghosh main
sapna suhana chahiye


Dil ki lau ko sard kar
dena aqal mandi nahi

Dil lagane ko agar-chay
ek zamana chahiye

Koi taaza phool le kar
milne aa jaye to phir

Apne zakhmi jaan-o-dil
ko bhool jana chahiye.
  

Jun, 04 2010     293 chars (2 sms)     2484 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kuch Loog aesay Hotay Hain Jo Aap ko nahi Jantay,
Mager,
Jin se Aap Pyar Kartay Hain,
Jin pe Aap Maan Kartay Hain,
Jin pe Aap Itebaar Kartay Hain,
Lekin,
Wohi Loog Aap ko Dhooka de Jatay Hain,
Kyun K,
Aap unko nahu Jantay.......
y...........................?
mujh se gil mut kare ae meri jaan-e-jaan.
mujh ko yeh bata mujh se zyada tujhe or koi chahta hai.
Woh Ishq jo hum se rooth geyya ab uss ka haal batayyen kiya
koi meher nahi koi qeher nahi phir sachha shayr sunayyen kiya
Rudaad-e-muhabbat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye
do din ki musarrat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


jab jaam diya tha saaqi ne jab daur chala tha mehfil mein
wo hosh ki sa''at kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


ehsaas ke maikhane mein kahan ab fikr-o-nazar ki qandilein
aalam ki shiddat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


ab apni haqiqat bhi "Sagar" berabt kahani lagati hai
dunya ki haqiqat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye.................
Waqt Ne Sari Kahani Hi Badal Dali

Pyar Ka Naam Jo Aata Hy Dar Lgta Hy

Zakham Kuch Aise Bhi Apno''n N Diye Hyn Mujh Ko ''Faraz''

Ab Koi Haath Milata Hy Tou Darr Lgta Hy
Achchhaa Saa Ko_Ii Mausam Tanhaa Saa Ko_Ii Aalam

Har Vaqt Kaa Ronaa To Bekaar Kaa Ronaa Hai
W0 khaar khaar hy Shah-e- Gulaab ki mannind

main Zakhm zakhm hooN phir Bhi Galle Lagaon Usay
Wo Kehta Hay......
Batao Be-Sabab Kyun Rooth Jati Ho?


Mein Kehti Hoon...
Zara Mujh Ko Manaao...... .Acha Lagtaa Hay
Zingai Tanhaa Na Thi,

Aey Ishq Teri Rah Mein


Dhoop Thi, Sehraa Tha, Aur Ik Meharbaan Sayya Bhi Tha
***ADA E ISHQ***
Har lamhay ko is tarhaa main taay kar jaoon gi
Har ik pal mai tujhay apnay qareeb laoon gi

Mehsoos bhi na ker paiy ga tu mujhay humdum
Main teri sanss mai iss tarhaa bass jaoon gi

Guzarty hovey lamhoon ko ik yaad banatay huwey
Main teray her pal ko is tarhaa mehakaoon gi

Gar bhool na chahay bhi tu mujhay aaiy humnasheen
Jatay huwey teray chehray pay apna akass chor jaoon gi

Zindagi mein aisa lamha bhi hoga socha na tha
Paa ker uss ko main haadh se hi guzar jaoon gi.
Youn to hAin Bay shumar wafa ki Nishaniyan




Lakin



hAr ik shAy se nirAlay tumhArAy khAt.

Wo Hum Ko Pathar or Khud Ko
Phool Keh Kar Muskaraya Karte Hai

Unhain Kya Pata Ki Patthar To Patthar Hi Rehte Hai

Phool Hi Murjaya Karte Hai