bay zameen logon ko

bay zameen logon ko
bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay
  

Jun, 04 2010     496 chars (4 sms)     2974 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai,
Aasman lakh ucha ho magar jhuk jata hai.
Dosti mein duniya lakh baney rukavat,
Agar dosti sach ho toh khuda bhi jhuk jata hai.
kisi ki yaad ne zakhmoon se bhar diyqa hai seena mohsin!

her eik saans shak hay k aakhri ho gi.
kaha us ney,k aakhir tum,bhula do gey mujhey ek din...

kaha main ney,karoon main kia,k mar jana muqaddar hai....
Wo lamhe hame yaad na rahe to kya hoga,
Tere siya kuch bhi aabad na rahe to kya hoga,
Aise hai ye dil ki majburiya kaise batoo,
In saanso me ab tera naam na rahe to kya hoga.
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..
Mohabbaton ki saza bemesaal de usnay,
Udas rehnay ke aadat daal de usnay,
Meray wjood pe jab itnay zakhm dekh chuka,
To jan boojh k kanton ke shaal de usnay.
Sahil Ki Geeli Rait Pr
Main Ny Us Sy Poocha,


Tera Mashgala Kia Hai?


US Ny Palkain Jhuka Kr


Muskura Kr,



Mera ''Naam'' Likha Aur Mita Dia...!
SanSoon K SuB KhaRaj AddA HuM Nay Ker Diye






LaikEn NiSaR KaiSy KrieN Ab ANNA k PhOOL!!
agar wo wajah na pochay tu ik baat kahon"mohsin"

bin us k ab hum say bhi jiya nahi jata..
Is bharay sheher main tanha karta hoon hawa say baatain.

parta hay har qadam zameen par maira majnu ki tarah.
"SANS"





Linay se teri yaad ati hai,


Yad anay se meri Jaan
jathi hai,

Kaisey kah don k sirf sans se zindagy hai,

Sans bhi tu teri Yaad k bad ati hai.>
Kitne paas hai kitne door hai hum,
Khuda hi jaanta hai kitne majboor hai hum,
Saza ye hai ke mil nahi sakte,
Gunaah ye hai ke be-kasoor hai hum.