Unke husn ke charche logo se suna karte hai,
mehfil me unke aane ke bahane dhunda karte hai,
deedar jo unka hua to hum bhi ho gaye kayal,
ab is bemishal husn ko bayan karne k alfaz dhunda karte hai.
Pyaar ka to Dushman Zamana hai,
Har Aashiq ke Pyaar ka apna hi fasana hai.
Sab ko pata hai Ansu hi milte hai Pyaar me,
Phir bhi kyun har koi Pyaar mein Deewana hai
Khud rooth’tay ho zra c baat per magar
Koyi roothay to usay manaaya bhi karo
Aur ki ghalati per hai teri nigah-e-tanqeed
Apnay kisi aitraaf per nigah jhukaaya bhi karo!!!