Farq sirf itna sa hay

Farq sirf itna sa hay
Farq sirf itna sa hay.

us ki doli uthi meri mayyat uthi.

phool us par bhi thay.
phool mujh par bhi thay.

mehfil wahan bhi thi.
log yahan bhi thay.

un ka hasna wahan.
in ka rona yahan.

saheliyaan us ki bhi thien.
dost mairey bhi thay.

2 bol us k parhay.
4 qul meirey parhay.

qazi udhar bhi tha.
molvi idher bhi tha.

wo saj k gae.
mujh ko sajaya gaeya.

wo uth kar gae.
mujh ko uhtaya gaeya.

Farq sirf itna sa tha.

us ko apnaya gaeya.
mujh ko dafnaya gaeya.
  

Jun, 04 2010     497 chars (4 sms)     11336 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mery kufr-e-mohabat pay na kar tanqeed ay saaqi..

koi to bat dekhi thi,k sajda kar liya hum ne...
Har Rishte ko Aajmaya He Humne

Kuch Paya Par Bahut Gawaya Hai Humne

Har Us Shakhs Ne Rulaya He

Jis Ko Bhi Is Dil Me Basaya Hai Humne
maangi thi hum ne khuda se mohabbat ki zindgi.

khuda ne to tum ko hi mohabbat bana diya...!!!
Kabhi Chup Ki Mohar Sajatay Hain,
Kabhi Geet Labon Per Laitay Hain,
Kabhi Sub Ka Dil Behlatay Hain,
Kabhi Khud Main Tanha Hotay Hain,
Kabhi Shab Bhar Jagtay Rehtay Hain,
Kabhi Ro Ro Kar So Jatay Hain,
Hum Nazuk Nazuk Dil Walay
Bus Kuch Aisay He To Hotay Hain!!
Jasus
Do Ghari neend Sula do
Mujhko

Ek naya khawab dikha do
Mujhko

Na pohanch paon mein
Chalte chalte

Aisi manzil ka pata do
Mujhko

Zindagi talkh hui jati hai

Ab na jeene ki Dua do
Mujhko

Yun Hi kam hogi jalan
Aankhon Ki

Tum Zara aur rula do
Mujhko

Jurm to koi na Saabit
Hoga


Be-Gunahi Ki Sazza Do
MUJHKO...!!!
Hijr ki Talkhi Zeher Bani Hy

Meethi Baate''n Bhejo Na

Shaam Me Jeewan Beet Chala Hy

Roshan Subhe''n Bhejo Na

Khud Ko Dekhy Arsa Guzra

Apni Aankhe''n Bhejo Na
MERY ashkon ko palkon peh machalna bhi nahin aata...
hasar-e-zabt say to mujh ko nikaln bhi nahin aata...
mujhy lagta hai jaisy main wo koi gham ka sooraj hoon...
keh jisy sham ho jany peh dhalna bhi nahin aata...
Mere WATAN ki mitti Nilaam hone lgi hy

BAGHAWAT is k Khilaaf Sar-e-Aam hone lgi hy

Bhej koi MUUSA Ae Mere RAB

k FIROUN ki FIROUNIAT Aam hone lgi hy
TUm is Sher Se JaNe Lago Tu Meri Ankhain Bi LeTey Jana

QeSar

Koi sAfar Main Sat Rahe Tu Rasta Juldi Kat Jata Hai.
Mohabbat
K Sapney
Dekhata Boht Hy,

Wo Raaton
Ko Mujh Ko
Jagata Bhi Boht Hy,

Me Aankhon
Me KajaL
Lagaon Tu Kese?

In Aankhon
Ko ZaLim RuLata Bhi Tu Boht Hai...
Apne Halaat Ka B Ehsas Nahi Hai Mujh Ko "Faraz"

Mei ne Oaron Se Suna Hai K Preshan Hun Mein...
Kisi Aur ko mErAy haal se nA Gharz hy nA koi wasta


mAin bikhAr Gaya hoon smait lo,mAin BighAr Gaya hon,sAnwAr Do