Mai ne seekha nai

Mai ne seekha nai
Mai ne seekha nai kitab0n se,
mai ne rabta rakha insan0n se,
kitna asan tha sawal krna,
ab jan jati hai jawabon se!
  

Jun, 04 2010     119 chars (1 sms)     2148 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo Suraj Ki Tarah Aag Ugalte Rhe

Hum Musafir Safar Par Hi Chalte Rhe.

Woh Beete Waqt thay,Unhe Ana Na Tha

Hum Saari Raat karwate badalte rahe.
Aanaa Passand Kabhi Muhabbat nahin Kartay..!!

Muhabbat Un ka Shewa Hai Jo Khud ko "Maar" Detay hain..!!
Tanha udaas shamo main
ab kiyun phira karoon main
mujhe bhool janay walay
tujhe yaad kia karoon main..
isi chamn me hi hamara b ik zamana tha
yahin kahin koi sada sa aashiyana tha

nasib ab to nahi shaKh b nasheman ki
lada hua kbhi phulon se aashiyana tha

teri qasm are o jald ruthane vale
gurur-e-ishq na tha naz-e-aashiqana tha

tumhin guzr gaye daman bacha kr vrna yaha
vahi shabab vahi dil vahi zamana tha
Jo na hua kbhi wo ek raat ho gya ,


Chand ko Suraj se pyar ho gya ,


Chand Nikla talash mein aur kho gya


Chand k jatay hi aasman udaas ho gya ,


Suraj tou jalta hi raha intizar mein aur aag ho gya ,


Suraj ki khata se chand k lye andhera ho gya ,


Chand ne ki bewafai aur taaron k saath ho gya ,


Sila mila kuch is tarha dono pe girhan ho gya ,


Karte rahay berukhi hamesha k lye ,


Ek ban gaya DIN aur dosra RAAT ho gya..
Meethi neend Meethe khwaab,
Ho Gaya savera ab to jago janab.
Chand bhi chup gaya fir rat K intezar Me,
1 naya din shuru karo apni manzil ki talash Me.
Dil tordna humari aadat nahi

Dil hum kisi ka dukhatay nahi

Barosa rakhna merri wafaoon pe

Dil main basa ker hum kisi ko buhlatay nahi
Ajnabi Ban Gaya Woh Yeh Keh Ker Ke
"Tum Ne Dosti Na Nibhai"
Kaisa Dost Hai Woh Dost Ko Tanha Kar Ke
Kehta Hai "Dosti Na Nibhai"
Chora Bhi Khud Hai Aur Bewafa Bhi Mujhe Kehta Hai
Kitna Bewafa Hai Meri Wafa Ko Nahi Samajhta Hai
Toota Hai Mera Dil Per Woh Nahi Samjhe Ga
Na Kabhi Samajh Paya Mujhe Na Hi Samajhe Ga
Woh Jaye Aur Dosti Nibhaye
Hum To Ajnabi Hain Hum Kya Dosti Nibhayein
Mujh ko teray Qurb ki khawahish tou hai magar.....

Ulfat ka jo Maza hai wo inhi Faaslon main hai..........
Charagh Bujhtey Chaley Ja rhey Hain silsilawar....






main khud ko Dekh rha hoon Fasana Hotey hue
ULjhano Ka Ye Mosm Badal B Sakta Tha
Wo chahta To Mere Sath ChaL B Sakta Tha

Wo Shakhs Jis Ne Mujhe Chorne Me JaLdi Ki
Men Us K Mizaaj K Saanche Me DhaL B Sakta Tha

Wo JaLd Baaz Khof-Zada Ho K ChaL Diya Werna
Tamam MasLon Ka Koi HuL NikaL B Sakta Tha

Anaa Ne Hath Uthane Nahin Diya Werna
Meri Dua Se Wo Pathar PighL B Sakta Tha... ;->
ya tera zikr kare her shakhs mujh se.

ya koi hum se guftago na kare koi.