Kabhi Aansoo kabhi

Kabhi Aansoo kabhi
Kabhi Aansoo kabhi khush bechi
Hum ghareebon ney be kasi bechi

Chand sansein khareedney key lye
Rooz thori si bandagi bechi

Jab roolaney lagey mujey sarey
Mai ney ukta key rooshni bechi

Kabhi Aansoo kabhi khush bechi
Hum ghareebon ney be kasi bechi

Aik hum they key bikher gey khud hi
Warna dunya ney doosti bechi

Kabhi Aansoo kabhi khush bechi
Hum ghareebon ney be kasi bechi
  

Jun, 04 2010     398 chars (3 sms)     2705 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Us ne Kaha," Kaun ho Tum?
Main ne Kah, "Hasrat Teri"
Us ne Kaha," Dekhtay ho kya?
Main ne Kah, " Surat Teri"
Us ne Kaha," Chahtay ho kya"
Main ne Kah, " teri"
Us ne Kaha," Puchtao ge bohat"
Main ne Kah, " Qismet meri.... "
koe pal ho teray sath ka meri umar bhar ko samait lay..

main''fanaa''baqaa''k sabhi safar usi aik pal mein guzaar doon.
Unhone Apna Kabhi Bnaya Hi Nhi
Jutha Hi Sahi Pyar Dikhaya Hi Nhi
Galtiyan Apni Hum Maan B Jate
Par Kya Kare Kasur Hmara Hume Btaya Hi Nhi..........;->
mujh se muahbat ka zikar na karna...

kayonk main apne aap se khafa rahta hoon..
Meri saanso me ek aahat apki bhi hai,

Dil ki dhadkano me gungunahat aapki bhi hai.

Anjan hai aap is raz se ki,

Hamari hansi me ek muskurahat aapki bhi hai.
Armanoo Ki Barat To Kai Baar Sajai Hai Dil Me,,
Kisi Ko Lage Wo Janaza, To Baat Aur Hai,,

Dil Lagake Dard Kaun Baana Chahta Hai, Ae Dost,,
Par Dil Milae Bina Gar Chahat Mile, To Baat Aur Hai..
Pura dukh aur adha chand
Hijr ki shab aur aisa chand

Itane ghane badal ke piche
Kitana tanha hoga chand

Meri karawat par jag uthe
Nind ka kitana kachcha chand

Sehara sehara bhatak raha hai
Apane ishq may sachcha chand

Rat ke shayad ek baje hain
Sota hoga mera chand
Mana K Bura Hon
Magr Itna B Nahi

Kuch Nazron Se Gira Hon
Magr Itna B Nahi

Koi Koshish To Kare Mujhe Samaitne Ki

Main Toot K Bhikra Hoon
Magr Itna B Nahi
Tum Ager Mujh Ko Na Chaho To Koi Baat Nahi

Tum Kisi Aur Ko Chahoge, To Mushkil Hogi

Ab Ager Mele Nahi Hai To Judai Bhi Nahi

Baat Todi Bhi Nahi Tum Ne Banayi Bhi Nahi

Ye Sahara Bhi Buhat Hai Meray Jeenay K Liye

Tum Ager Mere Nahi Ho, To Paraye Bhi Nahi

Mere Dil Ko Na Saraaho, To Koi Baat Nahi

Ghair K Dil Ko Sarahoge, To Mushkil Hogi
Ab WO MEri Her Baat K Maani Poche
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Kerta Tha
Ehsas Dilaya hai To Milta Bhi Nahi Hai
Ajnabhi Tha To Roz Mila Kerta Tha
Kabhi na tootnay wala hisar ban jaon

Woh mujh mai rahnay ka faisala to karay
Meri pehchan bas naam hi sahi,

yaad na aaye tumhe itne badnaam to nahi.

hume bhul jana majburi hi sahi,

magar sachmuch bhul jao ye zaruri to nahi