Mohabbato''n Main Jo Gham

Mohabbato''n Main Jo Gham
Mohabbato''n Main Jo Gham Milain Hain Yahi Bohat Hain
Wo Rote Rote Keh Rha Hai Yehi Bohat Hai

Agr Wo Shaks Ab Mera Nahi Hai Tou Gham Nahi Hai
Gaye Dino''n Main Mera Raha Hai Yehi Bohat Hai

KOi Zaruri Tou Nahi Kisi Ko Main Yaad Aaon
Koi Mujhe Yaad Aa Raha Hai Yehi Bohat Hai

Agarcha Us Ne Mere Khilaaf Kaha Hai Lekin
Ye Faisla Us Ne Khud Kia Hai Yehi Bohat Hai

Main Apne Hissay Ka Hans Loon Meri Kahan Ye Qismat
Bas Apne Hissay Ka Ro Lia Hoon Yehi Bohat Hai
  

Jun, 04 2010     474 chars (3 sms)     2779 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Khushio''n Ki Terha Meri Har Saans Main

Pyar Apna Basane Ka Wada Karo

Rung Jitne Tumhari Mohabbat K Hyn

Mere Dil Main Sajane Ka Wada Karo

Hy Tumhari Wafa Pe Mujh ko Yaqeen

Phir Bhi Dil Chahta Hai Mere Dil Nasheen

Yun Hi Meri Tasalli Ki Khatir Zara

Mujh Ko Apna Banane Ka Wada Karo

Sirf Lafzo''n Se Iqrar Hota Nahi

Ek janib Se Pyar Hota Nahi

Main Tumhain Yaad Rakhne Ki Khao''n Qasam

Tum Mjhe Na Bhoolne ka Wada Karo
Usne rat k andhere me
mere hath ki hatheli pe
likha tha apni ungli se
Muje Pyar H Tmse
Jane kesi syahi thi wo
k mitati b nai or dikhti b nhi
Socha Tha Tujhy
Tuut k Chahain Gy
Bohat Hum ...

Chaha Bhi Bohat
Jaana''n Aur Tuutey Bhi
Bohat Hum ... !!!
Pyaas Aaysi K P Jaoon Ankhain Uski
Naseeb Aaysa K Mayesar Zehar Bhi Nhi...
Tark-e-Rasm-e-Dosti
Hargiz Mera Maslak Na
Tha ...

Ittifaqan Dosto''n Se
Raabtey Kam Ho
Gaye... !!!
yeh to hai apnaa apnaa hausla apnii apnii u’Daan hai
koi u’D ke rah gayaa baam tak,koi kahkashaa’n se guzar gaya
Phir itne mayous q ho us ki bewafai per,

Tum khud hi to kehtay the k wo sab se juda hai.
Dil k arman ko dil me sula na dena

apni khubsurat aankho ko rula na dena

kal kisne dekha he

aakhir hum na rahe to hume bhula na dena.
Tujhe Kiya Khabar Teri Yaad Ne, Mujhe Kis Tarah Se Satha Diya,
Kabhi Khilwaton Mein Hansa Diya, Kabhi Mehfalon Mein Rula Diya,
Kabhi Yun Huwa Teri Yaad Mein,Mere Kaee Sajde Qaza Huwe,
Kabhi Yun Huwa Teri Yaad Ne,Mujhe Mere Rab Se Malaa Diya
Wo jisay samajhtay thay zindagi
Meri dharkano ka faraib tha
Mujhay muskrana sikha k wo
Meri rooh tak ko rula gaya
Wo k jis ko panay ki chah mein
Mein kabhi khilta gulaab thi
Meri pati pati bikhar gae
Mujhay aisi thokar laga gaya
Ajab shakhs tha wo ay zindagi
Jisay samjh k bhi na samajh sakay
Mujhay chahta bhi gazab ka tha
Tanhaion k Shehar mein aik ghar bana lia
Ruswaion ko Apna muqadar bana lia
Dekha hai yahan pathar ko pojty hain log
bas iss liye apny dil ko Pathar bana lia
Gilay shikWay kro mjse ...tmhe jaana ijaazat hAy


lakin Baat na krne se Ta''alaq Toota nhi kartay