ummiid se kam chashm

ummiid se kam chashm
ummiid se kam chashm-e-khariidaar meN aaye
ham log zaraa der se baazaar meN aaye

ye aag havas kii hai jhulas degii ise bhii
suuraj se kaho saayaa-e-diivaar meN aaye
  

Jun, 05 2010     170 chars (2 sms)     2354 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wiswas bana k log zindagi me aate hai. khwab ban k aakho me sma jate hai. pehle to ye yakin dilate hai ki wo hmare hai, fir na jane kyu tanha chod jate hai.
tujh ko khaber na ho gi k danish k bawjood.

barson tare khyaal main pagal rahe hain hum.
Mohabbat bandgi hai is mein tan* ka kurb mat maango,,
keh jis ko chhooo liya jaye usey pooja nahin kartey...
Chaand Ho Jesay Sitaron Say Allag
Esay Neainon Mein Haya lagti Hay

Teri Qurbat Mein Juki Si Nazar
Aik Masoom Si Dua Lagti Hay

Marhala Moat Ka Mushkil Magar
Zindgi Es Kay Siva Lagti Hay
us se duur janay ka irada na tha
sada sath rehnay ka b wada na tha

woh yaad na karein ge,yeh jante the hum
per itne jaldi bhool jaein ge, yeh andaaza na tha
main jaan tu gaya hon apne jeene ki wajha.

per wo khuda se mere marne ki dua kaoun kerta hai.
Khaamoshii kah rahii hai kaan mein kyaa
aa rahaa hai mere gumaan mein kyaa

ye mujhe chain kyuuN nahiin partaa
ik hii shaKhs thaa jahaan mein kyaa
Bhid Mein Tanha Hai, Khudpe Hum Hairan Hai,
Bewajah Muskuraye Dil Deewana Mera..
Mitne Lagi Hai Ab Sari Majburiyan,
Ab Tum Bhi Mita Do Dil Se Dil Ki Duriyan...
Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,
ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi
PIYAR KA MAZHAB

"Aik hi dherti per kerte hain , dono rain basera bhi
Neel gagen kay saiy tale gher tera bhi gher mera bhi

Rang-o-nasl ka jghra kaisa, kumba ik, qabila ik
Tere khun ka lal hay rang, vaisa hi rang mera bhi

Tera mera mazhab kaisa, piyar hi sab ka mazhab hay
Ik khuda hay tera bhi,or tera khuda hay mera bhi

kon kisi ka dost hoa, jab haat main sabke khunjer ho
Bund patari main rekhta hay apna saanp sapera bhi

Diar hoi jab burq, giri thi, abtek vehshet tari hay
Thek ker soorej, dobe ga, to chaiy ga andhera bhi
Naam Na Lena Qasid Faqat Itna Hi Keh Dena,


Jinhy Tum Bhol Bethy Ho Wo Aksar Yaad Krty Hai
Tumein Khabar Hi Nahin K Koi Tooot Gaya


Mohabatton Ko Boht Payedar Kartay Huwey