Kabhi rootha nahe

Kabhi rootha nahe
Kabhi rootha nahe kartay....
sono aissa nahe kartay....
jinay pana na ho aasan
aunhain soucha nahe kartay....
jinain shab bhar tarapna ho
kabhi soyya nahe kartay.......
zara se batt par ay..dost.......
youn he royya nahe kartay....!!!!
  

Jun, 05 2010     242 chars (2 sms)     2357 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aaney Lagta Hy Jab
Kisi Ki Tafaqat Mein
Sukoon !!

Phir Yun Hota Hy k
Wo Shaks Bichar
Jata Hy ... !!
Vo khush hue jab hum dil se roye,
Raat bhar jage to vo chain se soye,
Unhe de di humne phoolo ki sajja,
Aur sare katein apne path par boye
Usay kehna mujhe tanhaiyon mein darr sa lagta hai


Tujhe jab sochta hoon to dil mein ik khanjar sa lagta hai

tumhare hi khayaalon mein, main aksar mehv rehta hoon

nikal aaoon to ye mahol banjar sa lagta hai...
Uss Se Kaho Ek Baar Aur Dekh Ke Azaad Kar De Mujhe

K Mein Aaj Bhi Uss Ki Pehli Nazar Ki Qaid Mein Hoon
Sham ne lipat kar pyar ka izhar kiya,
Chandani ne bikharkar Yaar ka satkar kiya.
Main khada bas dekhta raha Roop ki jalti agan,
Dil lagi ne Dilkashi se waqt ko guljar kiya.
"guriya"kisi kay aik aansu sey hazaron dil taraptey hai.

kisi ka umar bhar ka rona yunhi bekar jata hai...
aaey shamma tujh pe raat ye bhaari hy jis tarah...

hum ne tamam umar guzaari hy is tarah.....
ik aag thi kay jaltay rahay jismain umar bhar,
ik dard tha kay jismain khayanat kabhi na ki!
usne sub kuch jaan k bhi mujhe maaf kar daya..

meri maa ne matha choom kar aaj phir mujhe sula daya..
Qasid paygham-e-shoq ko itna na kar taweel
Bas itna keh dena k aankhein taras gai hein.
dil youn dharka ke pareshan hoa ho jaisay
koi be-dhiyani mein nuqsaan hoa ho jaisay

rukh badalta hoon to shey-rag mein chubhan hoti hai
ishq bhi jang ka medaan hoa ho jaisay

jism youn lams-e-rafaqat ke asar se nikla
doosrey daur ka samaan hoa ho jaisay

dil ne youn phir mere seeney mein faqeeri rakh di
toot ker khud hi pasheman hoa ho jaisay

thaam ker haath mera aisa woh roya
koi kaafir se musalman hoa ho jaisay
Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Mera Dil Apni dharkno Kay Beqaboo Honay Ka Khail Dekhna Chahta Hai Ab Laut Aao Kay Aik Bar Phir Meri Palkien Tumhari Nazroon Sey Ghabra Ker Jhukna Chahti Hain Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Meray Qadam Tumharey Qadmon Kay Saath Unhin Rastoon Per Chalna Chahtey Hain Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Mera Wajood Tumharey Ishq Ki Aag Main Jalna Chahta Hai Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Meri Zindagi Tumhari Zindagi Sey Jurr Ker Khud Ko Jeena Chahti Hai