Mohabat rog hoti

Mohabat rog hoti
Mohabat rog hoti hai kaha bhi tha
Rula k kud bhi roti hai kaha bhi tha
Isay tum dil ki dharti ka pata mat do
Yeh us mai dard boti hai kaha bhi tha
Marhala-e-mohabat mai khushi k bad
Ghamon ki rut bahut nazdeek hoti hai kaha bhi tha
Luta kar dil ko ronay say hai kia hasil
Tmhara Ahshk bahut nayab moti hai kaha bhi tha
yeh tum ko sir say paon tak bus rakh kar daygi
bahut bay dard hoti hai kaha bhi tha
  

Jun, 05 2010     413 chars (3 sms)     2594 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ab Neend Se Kaho Hum Se Sula''h Karlen Faraz ....
Wo Door Chala Gaya Hai Jisk Liyee Hum Jaga karte Thay
hazaaro ki duniya mein,
na koi gahreeb hota hai,
na koi amer hota hai,
jise sacha dost mil jaye,
to vohi khushnaseeb hota hai..
Mujh Se Bichar K Rona Mat.
.Dekho Udas Hona Mat.
..Apne Rangeen Aanchal Ko
...Ashkon Se Bhigona Mat
...Phool, Kitaaben Or Khatoot
...Meri Cheezain Khona Mat..
..Apne Dil Ko Samjha Lena...
.Phir Se Tanha Hona Mat
Ye kis ny hamen shemi hue fiza men pukara,
Ye kis ne awaz di k awo "UDAS LOOGO",
Ye jaan gawane ki rut yoonhi raegan na jae,
Sar-e-bazar koi sar sajawo "UDAS LOOGO",
Eski bat sy hi tabeit sanbhl sky gi,
Kahen sy Waqas ko dhund lawo "UDAS LOOGO"!
Apni aankhon ke samandar mein utar “JANE DE”,
Tera mujrim hon mujhe doob ke mar “JANE DE”,
Aye naye dost mein samjhon ga tujhe bhi apna,
Pehlay maazi ka koi zakham to bhar “JANE DE”,
Aag Duniya ki lagai bujh jae gi,
Koi aansoo mere daman pe bikhar “JANE DE”,
Zakham kitnay teri chahat se mile han mujh ko,
Sochta ho ke kahon tujh se magar “JANE DE”
shayad mera wajood hi tha soraj shahr main..

main bujh gaya tu kitne gahron main chale charagh.
Ab k Saal Usy
Rafaqato''n Ka
Intizar Nhi

Wo Jo Dil
Beqarar Tha
Ab k Bar Nhi

Us Ny Mjhe
Chorh Dia Faqt
Baat Itni c Thi

Wo Mera
May''yar Tha Main
Uska May''yar Nhi
Dil pay ye qyamat karna muskurate huwe rukhsat karna,

Achi ankhen jo mili hai usko kuch to lazim hoga wehsht karna,

Jurm kis ka tha saza kis ko mili kya gayi baat pe hujjat karna,

Koun chahega tumhe meri tarah ab kisi say yun mohabat karna,

Dil ka darwaza khula rakha hai waqt mil jaye to zehmat karna . . .
Rulana Har Kisi Ko Ata He,
Hasana Kisi Kisi Ko Ata He.
Rula Ke Jo Mana Le Wo Sacha Yaar He
Or Jo Rula Ke Khud Bhi Ansu Bahaye Wo Pyar hai
Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain

Bas Yaadain Bohat Stati Hain

Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe

Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain
Tairy Tarz-e-tagaful sai hamain kia gila dost
.
Shayed hamain hi nahi ata dilon mai ghar karna
uski ankhon me nazar aata tha sara jahan muj ko..

wassi

magar uski ankhon me khud ko kabhi dekha hi nhi..