Mere dukh kii koii davaa

Mere dukh kii koii davaa
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
  

Jun, 05 2010     355 chars (3 sms)     2617 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kisi ne door se dekha koi qareeb aaya
Ameer shehar main jab bi koi ghareeb aaya

Hawa main zehar gola paniyon main aag lagi
Tumhare bad zamana bara ajeeb aaya
Itna aasaan nahin mujhko bhulaana tujhko
ek shiddat hai kasak hai ya koi wahshat hai
kuch mareeze dile jaanan ko bhi chan aa jaata
jhooth hi bol magar bol ki ye ulfat hai
Log kahte hain khudaya kya muhobbat hai
mujhko maloom hai teri to yahi aadat hai
khwahish''n ka kaffila bhi ajeeb hi hai.

saghi

aksar wahi se guzarta hai jahan raasta nahi
Dosti Ko Dolat Ki Nazar Se Na Dekh Ae Ghalib ...

Ahl-e-Wafa Aksar Ghareeb Hua Kerte Hain ...
Uska Her Zakham Bina Mein Takleef Seh Gaya

Chour K Wo Gaya Aur Mein Akela Reh Gaya

Mohabbat K Asool Bana Gaya Kuch Aisy

K Bewafai Usne Ki Aur Mujhko Bewafa Keh Gaya
Tu CHAND Hai Is ZAMEEN Ka Aur Mein Soraj

Yahi Vajah Hai Ke Apnay Darmayan DOORI Hai

Rok Na Mujh Ko, Daihk ZID Na Ker

"Teri CHANDNI Ke Liye Mera Dobana Zaroori Hai..
Kuch Khatakta Tou Hy Pehlu Mein Mere Reh Ker

Ab Khuda Janey Yaad Hy Teri Ya Dil Mera ... !!!
Phoolm ko itna mat Sajaana,

Phool murjha B jate Hain,

AinaY ki Ada mat Apnaana,

Aaine fana B ho jate hain,

kisi ko Toot kr Mat chahna,

LOG B''wafa B ho jate Hain,
Ujlat main likhay gae chand alfaaz ko ager aap khat samjhti hain to muje aap ka khat mil gya :)
Khud Apny Ley Bate K Sochain Gy Kisi Din
Youn Hi K Tuhjh Bool K Deykain Gy Kisi Din
Batakhty Hovy Phirty Hain Jo Lafz Dil Main
Dunya Ny Deya Waqt To Lekain Gy Kisi Din
Hil Jay Gay Yeh Arsh K Dar-O-Bam
Yeh Khak Nasheen Log Jo Bolen Gy Kisi Din
Jati Hy Kisi Jeel Ki Gehrai Kahan Tak
Aankon Main Tery Doob K Dykain Gy Kisi Din
Suna hay ab kay woh udaas rehti hai,
Us se kahon kay woh udaas na ho Kion kay!

Us ki udaasi k sath,
us ki aankhain bhee Num num si lagtee hain,


Us k honth bhee Chup chup say lagtay hain,
Us k yeh chup honth or num aankhain,


Meree kamzori hain,
Us se kaho!

Woh udaas na ho,
Jo woh chahti hai,

mujh se lay lay,
Be shak Chahay mujhay na,

apne munn pasand sathi k sang ho jaye,
Kion kay!

Us k udaasi meree kamzori hai
Tamam Shab Jahan Jalta Hai 1 Udaas Diya

Hawa Ki Raah Me 1 Aisa Gher B Ata Hai

Wafa Ki K0n c Manzil Py Us Ny Ch0ra Tha

K W0 t0 Yaad Hume Bh0ol Kr Bi Ata He"