woh barsaat
jis ke intizar main bara maah guzre
kaali ghataa chaane ke baad
poora samaa jhal thal ho gya
pattay bheege
phoolon ne bhi ghusal kia
per mere honton ko
us aek katray ki pyas rahi
jo teri zulf se ho kar
tere rukhsar pe bahay
aur jab wohi aek katra
teri ghulab ki pankharion
se labon per aa ke thehray
apni barson ki pyas bhuja loon
teri aankhon ko choom loon
tere sapno main ashiyana bana loon
tere labon ko choo loon
teri har baat ammar kar doon
tere ghulabi rukhsaron per chehra laga ke
kisi dhoop main chaon ki manind
umer guzar doon
tera wajood orh loon
kahe to zindagi tere naam kar doon