dard apanaataa hai

dard apanaataa hai
dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun
  

Jun, 05 2010     348 chars (3 sms)     2516 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Uss Se Kaho Ek Baar Aur Dekh Ke Azaad Kar De Mujhe

K Mein Aaj Bhi Uss Ki Pehli Nazar Ki Qaid Mein Hoon
main bad dua to nahin de raha tum ko

magar dost khuda kare ke tumhen mujh sa koi na mile..
*KIA TUM B . . .?




Sham ki dahleez pe aas ka deep jalatay ho . .

Or kisi awara patte ki ahat pr,

Darwaze ki tarf bhaage jate ho . .

KIA TUM BHI . . ?

Dard chupane ki koshish krtay krtay . .
Aksar thak se jatay ho . .
or
bila waja muskaratay ho . .
KIA TUM BHI . . ?
Neend se pahele palkoun pr . .
Dheroun khuwab sajatay ho. .
Ya phir bistar pr late kr ,
Rotay rotay so jatay ho . .





KIA TUM BHI. . .?
Meri doori ka ehsaas toh tum ko hoga.....
Magar hoga meri maut ke baad.....
Tadapogi tum bhi meri tarah ek din....
Jab aayegi tum ko meri yaad.....
Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,

Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain
Mukammal pyar paa jana

tasavvur mai hai mumkin

Tukdon-tukdon mei jod

mohabat to sajani hai.

Gahre utrane per hi

milta hai mohabbat ka maza

Raat ke karwaton per hi

tiki maujon ki rawani hai.
Jab Bhi "Dil" Na
Umeed Hota Hy

Teri Janib Mazeed
Hota Hy

Pyar Izhaar Ka Hii
Naam Nahi

Pyaar Chup Reh k Bhi
Shadeed Hy ...
jina sikhaya hume isk ne,
marna sikhaya hume judai ne,
nahi liya karte the jaam kabhi,
pina sikhaya hume teri judai ne.
Merey pass sey guzer gaya,

is ney daikha bhi nahe,

tum chahat ki bat kartey ho woh to bolo bhi nahe,

hum bara maan kartey thai isey jan samajhtey thai,

durr sey guzar gaya hamari taraf ik kadam chala bhi nahe ,

kya ab kabhi tu karey ga kisi ghair par bharosa

FawaD woh bhi to daita tha kasmey jis ney pucha haal tak nahe
Mai Aik Phool Hoon

Woh Mujh Ko Rakh

Key Bhool Gaya...

Tamam Umr Ussi

Ki Kitab Mai Guzzri.
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai