Taraash ke mere baazoo

Taraash ke mere baazoo
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
  

Jun, 05 2010     679 chars (5 sms)     2029 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Suno
Kisi Ne Sach kaha Tha Ye
Mohabat Maar Nahi Sakti
Magar
Adhora Sach Suna Humne
Mukamal Sach To ye Hai Ke
Mohabat Khud Nahi Merti
Mohabat Maar Deti Hai
Kiya GHAM hai kia KHUSHI
malum nahi..

w0h APNA hai k AJNABi
malum nahi..


Jis k Baghair ek PAL nahi
guzarta..


Kaise guzre gi ZindaGi
malUm nahi...
main ne kaha k mujhy chor do ya tor do...

wo be-wafa hans k boli:

itnay naayaab khilonay roz kahan milty hain...
Meri Chahat Tum Se Alag Kab Hai,
Dil Ki Batain Tum Se Chup Kab Hai,
Tum Sath Raho Dil Main Dharkan Ki Tarah,
Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zarorat Kab Hai
Teri nafarat mei woh dam nahi,
Jo meri chahat ko mita de,
Yeh mohabat hai,
Koi khel nahi jo koi haske bhoola de...!
Dunya ke sitam ka koi hisaab nahi,









Lekin meri houslo ka bhi jawaab nahi...
Soch Samjh Lena Qadam Uthanay Se PEhlay

Kahi Kho Na Jao Manzil Anay Se Pehl
Mukhliss Dost Se Marhoom Na Ho Jao

Kahi
Yeh Soch Lene Usay Azmanay Se Pehle
Tumharay Siny Me B Darkhta Hai Ek Dil
ye Soch Lena Kisi Ka Dil Dukhanay Se Pehle

Umar Br Kon Kisi K Liye Rota Ha

Log Sirf Rotay Hain DAFNANAY Se Pehla
Tm ho to sub silsile achy lagte hain.

mujhy tumhri muhabat k gilae achy lagte hain.

bhut dur tak jana magr lot ana

mujhy tumse tumhi tak k fasle achy lagte hain
Mana k bura hun mgr itna bi ni hun

Kuch nazron se gira hun mgr itna bi ni hun
pachli raat ana tha us ne mare khuwab main.

haye us k khayal ne raat bhar sone na daya.
Dil-E-Nadan Ajab Justju May Hai,
Tum Se Shoq-E-Guftgu May Hai,
Maine Socha Hai Baar-Ha Tuj Ko,
Tu Meri Her Ik Arzoo May Hai,
Tu Mery Saath Hai To Lagta Hai Aisay,
Ik Ujala Sa Meri Rooh May Hai,
Juda Khud Se Karun To Kaisy Karun,
Teri DOSTI Gardish-E-Lahoo May Hai
Hum Sabhi Khawab Churatay Teri Ankhon Se Magar

Teri Palkon Ko Khabar_Daar Na Hony Detay

Hum Sabhi Rung Churatay Tere Chehray Se Magar

Be_Asar Tere Lab_o Rukhsar Na Honay Detay

Tujh Se Miltay Teri Saanson Se Mila Kr Saansain
Ek Bhi Saans
Gunah-Gaar Na Honay Detay

Hum Tujhay Dukh Bhi Sunatay Tu Lateefon Ki Tarah
Hum Tabiyat Teri Be_Zaar Na Honay Detay

Hum Girha Kholtay Sub Teri Shanasaai Ki
Tujh Ko Is Tarah Se Pur_iSraar Na Honay Detay... (-,=)