yun miley k mulaqat

yun miley k mulaqat
yun miley k mulaqat ho na saki

hont kanpe par baat ho na saki

meri har nigah dastan keh gayi

unko shikayat rahi ki baat ho na saki
  

Jun, 05 2010     140 chars (1 sms)     2595 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

"Har koi hamain pane ki zid mein hai"

"Shayad koi aazmane ki zid mein hai"

"jisse chahte hain hum itni shiddut sey"

"Woh hamain bhulane ki zid mein hai
Faraz karo tum kuch na paao
Apna ap luta ker bhi
Faraz karo koi muker jaye
“Sachi kasam“ kha ker bhi

Aur faraz karo ye faraz na ho
Sachi aik haqeeqat ho...
Terey ishq ke her rastey per
Jana aik qayamat ho...

Aur suna hai ye qayamat
Khoon jigar ka peeti ha...i
Tum tou faqat faraz karoge
Mujh per ye sab beeti hai...
Tu Nafrat Ki Aag Pe Aik Aanso Baha K Dekh
Mohabbat Kitna Wazan Rekhti Hai Usko Azma K Dekh
Wo Roth Jaye Tujhse Bari Baat Nhi Hai
Tu Hans K AIk Baar Usey mana k Tou Dekh
Dil se dil ka rabta acha laga,
Aaj us ka sochna acha laga,
Jate jate akhri lamhaat main mur kar us ka dekhna acha laga,
Zindagi bhar us ne jo kuch bhi kia,
Us ka har ik fasla acha lag,
Har taraf thi bewafa logon ki bheer,
Ik woh hi bewafa acha laga,
Woh hayya ki har ada mein sooyie jab,
Paas reh kar bhi fasla acha laga,
Kiyon mohabbat ho gai us say,
Kya baatae hum ko us main kya kya acha laga!
Yeh Zindagi barri ajeeb si..
Kabhi gulzaar si..
Kabhi bay-zaar si..
Kabhi khushi hamaaray saath saath..
Kabhi ghhamo''n ki barsaat si..
Kabhi Toofano''n may bhi hain raastay..
Kabhi manzilo''n ka pata naheen..
Kabhi do qadam pay zindagi..
Kabhi sadiyo''n tak intezaar si..
Kabhi her pal imtehaan hai..
Kabhi bin maangay Inaam si..
Kabhi kuch naheen..
Kabhi sab kuch si..
Yeh Zindagi barri ajeeb si..!!
Mana k Tum Haseen Ho na k is Qadar,
Jitna k Mere Deed ne is Qabil Bana Diya..........
Tinko s bane pal, pal se bane lamhe,
Aur lamho ne waqt ko buna,
Har pal koi kissi ke saath nahi reh sakta,
Iss liye khuda ne yaadon ko chuna.
Kisi khas ko nazarandaz kiya nhi jata,

jinhe bhul nhi skte unhe yaad kiya nhi jata.

Ye yaadein to sahil hai un lamho ki,

Jin lamho ko dobara jiya nhi jata.
apne hi haal pe hansna bhi hans ke rona bhi.

main bayak waqt tamasha bhi,tamashai bhi.
Abhi Socha Hi Tha Dhoondo''n
Uffaq k Paar Ka Raasta

Tou Dil Bola Mera Socho Kabhi
Ka La-Pataa Hoon Main !!!
Mujhko Udaas dekh kar, Zamane ne yeh Saawal kia

Woh kon Hai zalim, Jisne tera yeh haal kia

Maine kaha woh mohabbat hai, jo meri unke sath hai

woh nikli bewafa bus itni si baat hai...
Dilse teri yad ko juda to nahi kia

Rakha jo tujhe yad bura to nahi kia

Hum se log hain naraz kis liye

Hum ne kabhi kisi ko khafa to nahi kia.....