Kaise wo laut aaye k

Kaise wo laut aaye k
Kaise wo laut aaye k fursat ussey nahi
Dunya samajh rahi hai mohabbat ussey nahi

Lagta hai aa chuki hai kami uss ki chah main
Kaafi dino''n se mujh se shikayat ussey nahi

Dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
Jazbo''n ki barishon ki jo aadat ussey nahi

Har cheez ikhtiar main rakhta hai wo magar
Dil se rihayi paney pe qudrat ussey nahi..!

Zindagi! ab tou ta''aluq ki ye hi surat hai
Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
  

Jun, 05 2010     456 chars (3 sms)     3051 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tere mohabbat mein meri aakhri saans tak mitadoon,
Bas ek pal uss aakri saans se pehle , mere dil ki baat.. tujhse ikraar
kar jaoon.
Tum kabi na meri azmaish kr sko gy,

jan se ziada kia frmaish kr sko gy,

pyar krty hain itna jitna samandr me pani,

kia samandr ki pimaish kr sako gy.
Yoon bhi ham door rehtay thay..
Yoon bhi dilon mein ik kadoorat thi..

Tum nay rasman bhula diya warna..
Is takkaluf ki kya zarurat thi...
Dill chahey woh koi baat karey
jab dill kay taar tootey hon
jab saarey mujh say roothey hon
jab aankhain meri beeghi hon
dill chahey woh koi baat karey
Suna hai asar hota hai baaton me,

tum bhi bhul jaoge do char mulaqato me.

humse ruth kar jaoge kahan,

tumhari dosti ki lakir hai in hathon me.
Na lena naam ay qasid faqat itna hee keh dena
Jinhein tum bhool bethay ho wo aksar yaad kartay hain
Tumhain bakhsi hay dil ki hukmarani, aur kya detay?
yehi thi bus hamari rajdhani, aur kya detay?

saja ker sir hatheli per gaye thay koo-e-jana me
hum apnay ishq main unko nishani aur kya detay?

woh hamsay mangta tha umar ka ik dil-nasheen hissa
na detay usko hum apni jawani, aur kya detay?

Sitaaron se kisi ki maang bherna ik fasana hay
tumharay naam likh di zindagani, aur kya detay?

Bichartay waqt usko ik na ik tuhfa to dena tha
Hamaray paas tha aankhon me paani, aur kya detay
*~" Jis k milney ki nahi hoti door talk Umeed koi....


*~" Un k kho janey ka khudsha bhi bohut hota hai...!!
Use maloom hai meri awargi ki sabub kon hai.

phir bhi poochta hai tum se bewafai kis ne ki
Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,
Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi Chahatay…..

Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,
Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi Chahate…..

Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,
Aaj Barish Thumay, Hum Nahi Chahatay…..

Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahate….. .

Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi Chahate…..

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate…..

Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi Chahate….
shayari ki kya baat karte ho ......
hum bhi kabhi shayar they ...........
maa ne banana chaha tha docter ........
kyoki baapu usjamane mein lawyer they................
Teray Waday Teri Kasmian Yaad Hain Mujhai..
Tu Ne Kaha Tha
Akhri Daam Taak Sath Nebahian Gay HUM DONOO
Tu Ne Kaha Tha Kohi Bi Hum Ko Juda Na kar Payega
Tu Ne Kaha Tha..
Teri Khaater Sari Duniya Choor Doongi Main.
Terey WADAY Teri KASMAIN Yaad Hain mujh Koo...
Lakin Ajj Yea JOoo Khaat Mila To
Ankain Bheeg Gayein...
Is Main Likha Main Ne Paara Hai..
WADA WAFA ka Toor Diya Hai.
Main Ne Tujhai CHOOR Diya Hai,,,,,,,,,,,,,,,