Kaanch ko chaahat

Kaanch ko chaahat
Kaanch ko chaahat thi patthar ko pane ki,
ik baar phir tutkar bikhar jane ki,
bas itni si chahat thi us diwane ki,
apn tukdo me uski tasveer sajane ki.
  

Jun, 05 2010     154 chars (1 sms)     1919 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dil jis cheez ko haan kehta hai zehan usi ko kehta hai naa

Ishq mein uff ye khud hi se larna ek sazaa hai seene main
Aanaa Passand Kabhi Muhabbat nahin Kartay..!!

Muhabbat Un ka Shewa Hai Jo Khud ko "Maar" Detay hain..!!
Bs Itni C Inayat Mjh Pe Ek Bar Ki Jye
Kbhi Aa k Mere Zakhmo''n Ka Deedar Ki Jye
Ho Jaye Begane Aap Shauq Se Sanam
Aap k Hyn Aap k Rahenge Aitbar Ki Jye
Parhne Wale Hi Darr Jayen Dkh Kr Isy
Kitab-e-Dil Ko Itna Na Daaghdar Ki Jye
Na Majbur Ki Jye, k Me Un Ko Bhool Jaon
Mjhe Meri Wafaon Ka Na Gunahgar Ki Jye
In Jalte Diyon Ko Dkh Kr Na Muskuraiye
Zara Hawaon K Chalne Ka Intizar Ki Jye
Krna Hy Ishq Aap Se Krte Rahenge Hum
Jo B Krna Hy Aap Ko Mere Sarkar Ki Jye
Wo silsily wo shoq wo nisbat nahi rahi...
Ab zindagi main hijr ki vehshat nahi rahi...
Tota hai jab se us ki masihai ka talisam...
Dil ko kisi maseeha ki hajt nahi rahi...
Phir yon hua k koi shnasa nahi raha...
Phir yon hua k dard main shidt nahi rahi...
Phir yon hua k ho gaya masroof wo buhat...
Or hum ko yaad kerne ki fursat nahi rahi...
Ab kya kisi ko chahain k hum ko tu in dino...
Khud apne ap se b mohabbat nahi rahi...
Meri zindagi mein bus ik kitaab hai

Ik khawab hai or tum ho

Yeh jo kitaab-o-khawab k darmiyan manzilein hain

Mein chahti hun tumhare sath basar kerun

Yehi kul asasa-e-zindagi

Isi ko zaad-e-safar kerun

Mere dil k jaada-e-khush khabar pe

Bajuz tumhare

Kabhi kisi ka guzer na ho

Magar is tarah k

Tumhein bhi is ki khabar na ho...!!!
ghalti hu gai tum se muhabat kar k,,,

amir

nazar andaz tu na kro kua maar hi dalo ge....
Apni Kharabiyo’n Ko Pas-E-Pusht Daal Kr…

Har Shakhs Keh Raha Hy Zamana Khrab Hy…
tum nay sun liya hoga

chahaton ke mosam main
zakhm jo bhi lag jaye
umr bher nahi silta
tum nay sun liya hoga
sheher ki hawaon se
wo jo aik deewana
atay jatay rahi ko
raaston main milta tha
ab kahin nahin m
Jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai....
Woh mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai...
Bichadh kar us se pereshan mein to hoon....
Per suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai...
Parwanay ko sham''ma pe jal k kuch tou milta hoga ~Mohsin~

Sirf marnay ki khatir tou koi jaan nahi deta....!!
tumhein jab kabhi millain fursatian meray dil se boojh uttar do
mein bohat dinoon se udaas hon mujhay koi sham udhar do
mujhay apnay roop ki dhoop do k chamak sakain meray khal o khad
mujhey apnay rang mein rang do meray saray zang uttar do
Suno
Kisi Ne Sach kaha Tha Ye
Mohabat Maar Nahi Sakti
Magar
Adhora Sach Suna Humne
Mukamal Sach To ye Hai Ke
Mohabat Khud Nahi Merti
Mohabat Maar Deti Hai