Teri bewafaayi ka kissa jab jab yaad aayega
mere tan badan mein ek aag si bharkaayega
jo tu ne kiya koi dushman bhi nahin aisa karta
dekh lena ek din tu bhi bohat pachtaayega
tumhein jab kabhi millain fursatian meray dil se boojh uttar do
mein bohat dinoon se udaas hon mujhay koi sham udhar do
mujhay apnay roop ki dhoop do k chamak sakain meray khal o khad
mujhey apnay rang mein rang do meray saray zang uttar do
"Yaar ne dil ka haal batana chhod diya,
humne bhi gehrayi mein jana chhod diya,
jab unko hi koi doori ka ehsaas nahin,
to humne bhi unko ehsaas dilana chhod diya."
mujhay anjam tak laana tha us benaam rishtay ko...
meri is bewafai ko koi bhy naam de daina
mager anmol jazbon ko kabhi bemol mat krna..
suno kuch bhy smjh laina...magar mat bewafa kehna
mujhay mat bewafa kehna!!!!