us se duur janay ka

us se duur janay ka
us se duur janay ka irada na tha
sada sath rehnay ka b wada na tha

woh yaad na karein ge,yeh jante the hum
per itne jaldi bhool jaein ge, yeh andaaza na tha
  

Jun, 05 2010     162 chars (2 sms)     2748 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Naya Ek RABT paida kyoon karen HUM?
Bicherna Hai to JHAGRA kyoon karen HUM?

Khamoshi se Ada ho RASM-E-DOORI...
Koi Hungama barpa kyoon karen HUM?

Ye Kaafi hai k HUM (HUM''TUM ) Dushman nahi hain...
Wfadaari ka DA''wa kyoon karen HUM?

Wafa,Ekhlaas,Qurbani,Muhabbat...
Ab in Lafzoon ka peecha kyoon karen HUM?

Hamari he Tamanna kyoon karo TUM?
Tumhari he Tamanna kyoon karen HUM?

Kia tha Ahad jab Lamhon main HUM ne...
To saari Umr Efaa kyoon karen HUM?
Janey Kese Jeete Hyn Log
Yaado''n K Saharey "Mohsin"

Main Tou Kai Baar Marta
Hoon , Ek Yaad Aane Par !!
Kuch Is Liye Bhi Raat Ko Ghar
Se Nikal Aata Hon Main , , ,


Sardiyon K Chand K0
Ehsas Na H0 Tanhayi Ka . . . /
kitni saji hai be-wafai teray masoom chehray par...,

hum bhi pagal thay k es ada pay mar gaye.
Aaj Kuch Maangna Hay Tum Say
Aaj Kuch Lena Hay Tum Say
Aaj Kuch Dena Hay Tum Ko
Aaj Kuch Kehna Hay Tum Ko
Na He Koi Khuwahish, Tamanna Na Arzoo
Bas Aik Hi Chah Hai Apni Aur Aik Hi Justaju
Ham Maangtay Hain Tum Say,
Teray Derd O Gham Wo Saarey Jo Rula Gaye Hain
Teri Neenden Uda Gaye Hain
Ham Hain Shareek E Gham Teray Pehchaan To Sahi
Ham Bhi Hain Saath Teray Tu Jaan To Sahi
Ker Bojh Apnay Dil Ka Halka Hamen Bataday
Ye Fikar Ye Udasi Kioon Hay Zara Sunaday
Laaye Hain Ham Baharain Teray Hi Waastay
Ye Rang Aur Ye Khushboo Teray Hi Waastey
Aaj Kuch Maangtay Hain Tum Say
Aaj Kuch MaangnA Hay Tum Say
"Mohabbat..

Dekhoo Muhabat Karoo Tu Itni Karoo K Koi Had Na Rahay
Intezar Karoo Tu Itna Karoo K Koi Waqt Na Rahay
Bharoosa Karoo Tu Itna Karoo K Koi Shak Na Rahay
Nafrat Karoo Tu Itni Karoo K Phir Muhabat Na Rahay
mahfil mian sub k labon per meri tareef k fasane thy.

lykn ek shakhs phir b mere qatal ka irada rakhta tha.
Hans Bol K Rukhsat Hona Hay
Phir Tanha Baith Ke Rona Hay

Din Yaad k Saya Daar Shajar
Shab Khabon Bhara Bichona Hay

Mujhy Ain Khizan Main Tere Liye
Phoolon Ka Haar Pirona Hay

Tere Pyar Ka Samra La Haasil
Pather main Beej Ka Bona Hay

Itna Dilgeer Ameer Na Ho
Ho Jaye Ga Jo Kuch Hona Hay
Sham ko parindo ki trah laut atey
"HUM"
Muntazir koi ager hamara hota,

Chand taro ki talb kise thi ?
Bs roshni k liye ek sitara hota,

"HUM" mein shayd koi kami thi warna ?
Zaroor koi tarf daar hamara hota,

Dunya k logo ki tamanna kise thi ?
Hum ne chaha
bs ek "WOH" hamara hota.
Hans k Runj-o-Musibat
Ko Saha Hy Hum Ne

Is Umeed Per k Kal Aaj
Se Behter Hoga ... !!!
Yun achanak se aa jati ho samne,

k mai kuch bhi keh paata nahi,

Kya kahu tere husn k sajde me,

Ke koi sher bhi yaad aata nahi
Ab to Tanhai Ka
Yeh Aalam hai
FARAZ,

Koi Hans Key Bhi
Dekhay To Mohabbat Kaa Guman Hota hai......!!!