kub kon kissi ka hota hai
sub jhote rishte natay hain
sub dil rakhne ki baten hain
sub assli roop chupate hain
ikhlas se khali log yehaan
lafzoon k teer chalate hain
ik baar nighahoon main akar
fir sari umr rulatey hain
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
zindagi ki musafat main
khoshion ki chahat main
mausmon ki manind
lehjay badal jatay hain
sukhay paton ki tarhan
waday toot jatay hain
yunhi saath chalnay walay
rasta badal jatay hain
kion zindagi ki musafat main
zindagi se payaray log
choot jatay hain
humain vo bhool jatay hain