**mohabat kar nehi paaya**

**mohabat kar nehi paaya**
**mohabat kar nehi paaya**
december k maheenay ka,
wo shaayad aakhri din tha..
baras guzray kaii,
main nay "mohabat" lafz likha tha..
kisi kaaghaz k tukray par!
achaanak yaad aaya hay,
baras guzray kaii,
mujh ko kisi say baat karni thi..
usay kehna tha..
"jaan-e-jaan!
mujhay tum say mohabat hay.."
magar main keh nehi paaya..
wo kaaghaz aaj tak,
lipta para hay dhool main lekin..
kisi ko day nehi paaya,
dobaara chah kar bhi main,
mohabat kar nehi paaya...!!
  

Jun, 05 2010     477 chars (3 sms)     2693 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kitni Ajeeb Thi
Dastan-e-Mohabbat
k
Ek Aankh
... Samandar ..
Aur
Duuji
... Pyaasi ...
Thi
aghaz yun hoa tha,
us nay ghulaab bheja
main nay kitab kholi
aur us main rakh diya woh,
sab say usay chupaya,
anjam yeh hoa hy...

kuch khusk patiyan hyn
thori si mehek bhi hy,
bas,
or kuch nhi........!!!
Gulshan ka har khwaab bahaaron mein qaid hai

lagta hai dariya bhi kinaro mein qaid hai

ab uski yaadon se nikla nahi jata

koi hai jo dil ki diwaro me kaid hai.
Dil ki ek ek dhadkan pe

Sanson ke aane jane pe

Lahoo ke ek ek qatre pe

Tera naam likha hai main ne

Us unmit sy''yahi se

K tera naam to mit na paye ga

Ye banda hi mit jaye ga !!
Ye banda hi mit jaye ga !!
Ajeeb Hijar parasti Thi Uski Fitrat Mein
Shajar Ke Tooty Patty Talash Kerta Tha
Qayyam Kerta Tha Wo Mujh Mein Soofyon Ki Tarah
Udas Reh Ker Goshay Talash Kerta Tha
Tamam Rat Wo Zakham De ke Apne Pairon Ko
Mere Wajod Ke Raizay Talash Kerta tha
Duain Kerta Tha Ujray Huy Mazaron Per
Bary Ajeeb Sahary Talash Kerta Tha
Bhulaye Kyun Aziyat Pasandiyan Uski
Khusi K Dhair Mein Sadmay Talash Kerta Tha
Roothe jo zindagi to mana lenge hum,
Mile jo gum to nibha lenge hum...
Bus tum rehna saath hamare,
Pighalte aansuon me bhi muskura lenge hum
~tum bin ~
tere shahr k log bhi bare ajeeb hai sagar.

jo payar main haar jye use daad dete hain.
bhri dunya me jee nahi lagta,,,

jany kis cheez ki kmi hy abhi...
* Harf-e-Dua *

Chaandni

Us Dareechy Ko Chuu Ker

Mere Neem-Roshan
Jharokay Mein Aaye, Na Aaye

Magar

Meri Palko''n Ki Taqdeer Se
Neend Chunti Rahe

Aur Us k Khwaab Bunti Rahy
Aashna Hote Hue Bhi Aashna Koi Nahi
Jante Hain Sab Mujhe Pehchanta Koi Nahi
Mukhtaser lafzon Mein Ye Hain Mizaj-E-Dosti
Rabta Beshak Hai Sabse Wasta Koi Nahi
Mumkin Jo Agar
Hota,

Hum Tum Ko Bhula
Detay,

Tanhaai Mein Jee
Letay,

Tum Ko Na Sada
Detay,

Is Dil Se
Dil Tak,

Deewaar Utha
Detay,

Mumkin Jo Agar
Hota,

Hum Tum Ko Bhula
Detay ....
Tu Nafrat Ki Aag Pe Aik Aanso Baha K Dekh
Mohabbat Kitna Wazan Rekhti Hai Usko Azma K Dekh
Wo Roth Jaye Tujhse Bari Baat Nhi Hai
Tu Hans K AIk Baar Usey mana k Tou Dekh