Ye Kia HAr Dam Kisi Ki

Ye Kia HAr Dam Kisi Ki
Ye Kia HAr Dam Kisi Ki Mannatai''n Kerna
Kia Isi Ko Kehte Hain Mohabbatai''n Kerna

Jo Apni Qismat Main Hai Milay Ga Wohi
Kis Baat Pe Hai Rab Se Shkayaytai''n Kerna

Ye Pagal-Pan Nahi Tou Aur Kia Hai Phir
Zameen K Ho Ker Aasman Se Baghawatai''n Kerna

Bohat Ker Cuka Hai Logo''n Pyar Ye Dil
Ab Koi Sikhaye IsKo Nafratai''n Kerna

Pehle Yaad Kerna Usay Phir Rotay Rehna
Jane Kab Chore Ga Dil Ye Harkatai''n Kerna . . .
  

Jun, 05 2010     431 chars (3 sms)     2416 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aarzo hai wafa ban k taray sath raho
dharkano ki sada ban k taray sath raho
maray honto say JISAY mout bhi na cheen sakay
wo zindagi ki dua ban kay taray sath raho
dil ki dharkano ko dharka gaya koi
mere khawabon ko mehka gaya koi

hum to anjane rastey par chal rahe they
achnak pyar ka matlab shika gaya koi
Dasht-E-Ghurbat main


jis pairh Ne,



mere Tnha Musafir Ki khatir,


Ghani Chaon Phailai hY,

Us ki Shaadabion k Liye

Meri sb Unglian

Hawa main

Dua Likh rahi Hain.
Tum Pe Khatam Sari Chahat Ho Gi ..

Phir Na Kisi Pe Ye Inayat Ho Gi

Kuch Is Tarah Se Karein ge Yaad tum Ko

Na Tum ko Shikwa Hoga Na Zamanay Ko Shikayat Ho Gi
maine khuda se pucha
keemat kya hai pyaar ki
khuda bola
AANSU BHARI AANKHEIN AUR UMAR INTEZAAR KI..!!!
Aaj mat rok madhosh ho jane de

Paas aa apne nashe me kho jane de

Na aaon hosh me na meri sanson se teri mehek jae

Band krle ankhen jo hota hy ho jane de.
Na khabar koi na paigham aaya hai,

jo chaha nahi tha wohi anjam aaya hai,

Kia hum ko bhula bethe ho dost,

Aaj na koi 'DUA' na"SALAM"aaya hy.
Do chezeen meri jisam k sath nai.

ek mera dil or dosra dard
Kuch Tu Hee Mere Dard Ka Mafhoom Samajh Lay Faraz,



Hansta Howa Chehra To Zamaane Ke Liye Hay....
Meri nadaan si chahat ko dil se laga ke rakhna,
Meri shararato ko apni zulfo mai uljhaye rakhna,
Ager mujh se kabhi khafa ho to dil na jalana,
bus pyar se shikayat kerna aur gale se lagana,
Shikway shikayat kaise jab ye dil de diya hai,
Apne gam ke saath apne pyar ko hai paas rakhna,
Meri ankho mai shiddat-e-muhabbat ko na dekh sako gai,
mujhay pasand hai isko ashko mai chupa rakhna
Jab Badlon Ki Gehrai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
Jab Zindagi Ki Sachai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Gulshano Gulistan Mai Jab Mere Qadam Paray
Har Phool Ki Ranai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Apne Mile Bohat Aur Mil Kar Woh Phir Bichar Gaye
Apno Ki Is Wafa Mai Dekha To Chehra Tera

Khoone Jigar Se Ki Hai Ye Dastan Maine Raqam
Aur Aisi Roshnai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
meri nigahon ki talash bas itni thi,

ami

aakhri saans se pehle us ka deedar ho jaye.