meri baat kaysay wo maanta
mera dard kaysay wo jaanta
wo tu khud fana kai safer main tha
usay rokna bhi muhaal tha
usay apnai Farda ki fiker thi
wo jo mera waqif-e-haal tha
wo jo us ki subha-e-urooj thi
wohi mera waqt-e-zawaal tha
wo mila jo sadyoun baad bhi
tu merai lab pa gilaa na tha
usay meri chup nai rula diya
jisay guftugoo pa kamaal tha!!
wo tu mujh sai mil k tha ro diyaa
faqat itna hi mujhai keh saka
jisay maanta tha main zindagi
wo tu sirf wehm-o-khayal tha..!!!
mujhay anjam tak laana tha us benaam rishtay ko...
meri is bewafai ko koi bhy naam de daina
mager anmol jazbon ko kabhi bemol mat krna..
suno kuch bhy smjh laina...magar mat bewafa kehna
mujhay mat bewafa kehna!!!!
Zara Tehroo..
Kay Soraj Ko To Janay Do..
Parando Ko To Ur Janay Do..
Zara Sham Dhalnay Do..
Abhe To Aasman Ka Rang Nikray Ga..
Abhe Khushboo Bhe Bikray Gee..
Abhe Mosam Bhe Badlay Ga..
Abhe To Chand Niklay Ga..
Abhe Manzar Badalnay Mein Zara See Dair Bakee Hey..
Abhe Dil Kay Sambhalnay Mein Zara See Dair Bakee Hey..
Chalay Jana..
Chalay Jana…
Abhe Do Char Pal, Do Char Sadyaa Sat Rehney Doo..
Zara….
Zara Tum Sham Dhalney Do..
Tahar Jaoo
Tahar Jaoo
wo khatam qaid ki miad bhi nahin krta,
magar main zahmat-e-feraad bhi nahinkrta,
kabhi kabhi wo itna yad aata hay"faraz''
main zid main aa kr use yad bhi nahin kr
Tu ne ye phool jo zulfun main saja rakha hai.
Ek diya hai jo andhree main jala rakha hai.
Jeet le jaye koi mujko naseebon wala.
Zindagi ne mujhe daao pe laga rakha hai.
Jane kub dil main koi jagne wala aa jaye.
Es lye main ne girebaan khula rakha hai.
Imthaan or mere zabt ka tum kya lo ge.
Main ne darkhan ko bhi seene mian chupa rakha hai.
Dil tha ek shola magar beet gya wo din "qateel"
ub kurede na ese raakh main kya rakha hai.