Rakhay khuda nay do

Rakhay khuda nay do
Rakhay khuda nay do rastay mujhay azmanay k liye
Woh chor day mujh ya mein chor doon usay zamanay k liye
Kaisay maang loon rub say usay bhool janay ki dua
Hath uthtay nahi hain dua mein usay bhool janay k liye
Nahi ki zindagi mein meinay koi bhi neki
Par parhi hain chhup k kuch namazein usay panay k liye
Nahi hai tu na sahi who qismat mein meri
Par aik mauqa to day usay ay RAb yeh aansu dikhanay k liye
  

Jun, 05 2010     414 chars (3 sms)     2889 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say
Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say
Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say
Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say
Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say
Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say
Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say…!!!
kaise mien maan loon k koi mera nahi raha...

jab tak khuda ki zaat hai,tanha nahi hoon main.
Meri shayari ko kuch is tarha parhna, k Mere shairon mein apna dard talash karna,
Rodogey agar tum to taklef mujhe hogi, tum aansuon ko annkhon se girna mat dena
agar koi pocha k dard kia hain, to sir jhuka kar mohabbat bata dena,
Ab mein akela nhi, tum bhi akele mat rehna, maine chuna tanhai ko, tum mere shairon ko

sahara bana lena,
Meri shayari ko kuch is tarha parhna, k mere shairon mein apna dard talash karna,
tere bgair zindagi mei koi kami to nahi
bus ye kambhat dil udas raha karta hai.......
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar gaye auroon kay liye ham yaara
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do....
Bhichar kar phir milaingay Yakeen kitna tha,

Tha to ik khwab magar haseen kitna tha,

Meray zawal se pehle he wo mujhe chor gia,

Haseen to tha hi magar Zaheen kitna tha.
ye ehtaraam to karna zaroor padta hai
jo tu kharide to bikna zaroor padta hai
us ka milna hi moqaddar mein nahi tha werna
hum ne kia kia nahi khoya usay panay k liye
Na Lafz Itne Qadd-aawer
Na Tujh Si Koi Shey ...



Bayaan Kis Tarah Kerta
Tujhy Misaal Se Main ... !!
Ishq ki bandishon mei tumsa nahi koi,

aashiqi toh hai par tumko yeh pata nahi.

Bahut gumsum si ho gayi ho ek pukar se,

tumhara khumar hai per kaho ki pata nahi.
Shab-E-Firak Main Jo Maine Kal Neend Se Pocha
Too Kion Nahin Aati Mujh Ghareeb K Pass

Neend Ne Kaha Kuch Soch K Zara
Main Tere Pass Rahoon Ya Tere Naseeb K Pass
Kyo hume kisi ki talash hoti hai
Kyo dil ko kisi ki aas hoti hai
Chand ko dekho yaaro wo bhi tanha hai
Jab ki uski chandani har roz sath hoti hai.